Benamazi Ke Liye Mushkilaat

Benamazi Ke Liye Mushkilaat

Farman e Mustafa (ﷺ):

Baccha Jab 7 Saal Ka Ho Jaaye To Use Namaz ka Hukm Do aur Jab 10 Saal Ka Ho Jaaye to Maar kar Padhao. (Abu Dawood Jild 1 Page Nu.77)

Momin aur Kafir Ke Darmiyan Farq Sirf Namaz ka hai. (Nisaai Jild 1 Page Nu. 81)

Qayamat ke Din Bande se Aamaal me Sabse Pahle Poochh Namaz ki Hogi. (Kanzul Ummal Jild 2 Page Number).

Jo Shakhs Jaanbujhkar Ek Waqt ki Namaz Chhod De to Us Pr Se ALLAH ka Jimma Uth Gaya. (Al'ithaaf Jild 6 Page Number 392)

Namaz me Susti Karne Wale Kayamat ke Din Suar (Pig) Ki Surat me Uthenge.

Kya Aap Jante Hain  Jahannum me ek Waadi Hai Jiska Naam Vel Hai Uski Garmi ka ye Haal hai ki Usse Jahannam bhi Panah Mangti hai Usme Be Namazi Daale Jayenge. (Al Quraan Surah Maa'un Aayat Nu. 4 Bahare Shariyat Hissa 3 Page Number 7).

Jisne Jaanbhujkar Ek Waqt Namaz Chhodh'di Jahannum ke Darwaze pr Uska Naam Likh Diya Jata Hai. (Abu Naeem)

Jo Sakhs Namaz ki Hifazat Karen Uske Liye Namaz Qayamat ke Din Noor Daleel aur Najaat Hogi aur Jo iski Hifazat Naa Karen Uske liye Baroz e Qayamat Naa Noor Hoga aur Na Daleel Hogi aur Naa hi Najaat aur wo Shakhs Qayamat ke Din Fir'aun, Qaarun, Hamaan aur Ubay Bin Khalaf Jaise ALLLAH ke Bade Dushmano ke Sath Hoga. (Muajjamul Jawaa'id).

Benamazi ko in 4 ke Sath isliye Uthaya Jayega ki Zyadatr insan Daulat, Hukumat Wazarat (Naukri,Job) aur Tijarat (Business) ki Wajah se Namaz ko Tark Karte Hain.

Jo Hukumat Ki Majburiyat ke Sabab Namaz Nahin Padege Uska Hashr Firaun ke Sath Hoga. Jo Daulat Ki Wajah se Namaz Tark Karega To Uska Qaarun ke sath Hashr Hoga. Agar Tarqe Namaz Ka Sabab Wajarat Hogi to Firaun ke Wazir Hamaan ke Sath Hashr Hoga aur Agar Tijarat ki Mashrufiyat ki Wajah se Namaz Chhodega to Usko Makka e Mukarrama ke Bahut Bade Kafir Taajir Ubay bin Khalaf ke Sath Baroze Kayamat Uthaya Jayega.

Jo Shakhs Namaz Nahin Padhta Use Duniya w Aakhirat me Kya Sazaa Milti hai ye bhi Mulahija Farma Len.


5 Sazaa Duniya ki:

  1. Uski Umr me Barkat Khatm ho Jayegi.
  2. Uske Chehre Se Noor Hatt Jayega.
  3. Noor Uske Kisi Aamaal Ka Ajar Nahin Milega.
  4. Uski Koi Dua Qabul Nahin Hogi.
  5. Use Nekon ki Dua se Faiz Nahin Milega.

Marte Waqt ki Teen Sazaa:

Wo Zalil Hokar Marega.
Bhuka Marega aur Pyasa Marega Aisa ki Agar Duniya Ke Tamam Samander ka bhi Paani Pila Diya Jaaye Tab bhi Uske Pyaas Naa Bujhegi.

Qabr ki Teen Sazaa:

1-Us pr Qabr Tang Hogi Aisi ki Uski Pasliyan Tut kr Ek Dusre me Bebas Pahunchegi.

2-Uske Niche Aag Jala Di Jayegi.

3-Uski Qabr me Sujaul Aqra Naam ka Ek Ganja Saanp Muqarrar Kiya Jayega Jo Use Sazaa Dega Uski Aankhen Aag ki aur Naakhun Lohe ke Hai aur Uski Aawaaz Bijli ki Garaj Ki Tarah, To Agar Fajr ki Namaz Nahin Padi To Fajr Se Lekar Jauhar Tak Maarta Rahega Agar Johar Padh Li Hogi to Johar Chhod Dega Aarna Johar se Asar Tak Maarega aur Yun Hi Hamesha Chalta Rahega aur Uske Ek Zarb Se Murda 70 Gaj Zameen me Dhans Jayega.

Teen Hashr ki Sazaa

  1. Usse Sakhti De Hisaab Liya Jayega.
  2. Rab Taala Usse Naraaz Hoga.
  3. Use Jahannum me Dakhil Kiya Jayega.

Aur Namaz ke Fayde bhi Padh Lijiye:

  • Rizq me Barkat.
  • Azaabe Qabr se Mahfuj Rahega.
  • Nama e Aamaal Dahine Hath me Milega.
  • Pool Siraat Se Bijli Ki Tarah Gujar Jayega.
  • Jannat me Dakhil Hoga.

Ab inaam Chahiye yaa Sazaa Faisla Aap Khud Karen Marji Aapki Kyunki Jism hai Aapka, Agar in Sab Ko Padhakar Dil me Kuchh Khauf Paida Ho Gaya Ho aur Tauba Ka irada Rakhte ho To Fauran Abhi se irada Kare ki Ab Kabhi Namaz Kazaa Nahi Karunga/Karungi aur Jo Kazaa Reh Gayi Hai Unhe Adaa Karunga/Karungi.

Sawab Ki Niyat Se Is Post Ko Share Zarur Kijiye 🌹.
Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url