Tum Yusuf Ban Jaao

Waalid Sahab Hamesha Bete ko Nasihat Karte the Beta Kabhi Kisi ki izzat se Naa Khelna, Kahin Aisa Naa Ho ke Kisi Ki Beti Tumhare Ahsasat ka Khilauna ban Jaaye, Beta izzat Aurat ki ho Yaa Mard Ki Chali Jaaye to Wapas Nahin Aati.

Tum Yusuf Ban Jaao


Beta Nigaahen Niche Rakha karo, Mard Bahakne se Bach Naa Sake Lekin Bachne ki Koshish to kar hi Sakta hai.


Ek Din Maine Apne Walid ke in Tamaam Nasihaton ka Jawab Ek Tanziyaan Muskurahat ke Sath is Tarah Diya Baba Ji in Baato ka Daur Guzar Gaya Hai.


Aaj ke Daur ki Ladkiyan Khud Chalkar Aati hai aur Wo ladkiyan to Khud Aisa Chahti hai. Social media, print media, drame aur filmi Duniya Ko ideal Manne waali ya sab yahi Chahti hai. Sharm ke Daur Gaye, To Mard Fir piche kyun Rahe?


Mere Waalid ne Meri Aankhon me Aankhen Daal kar Kaha Beta Julekha to Ajal se Bahut Zyada hai Kabhi Aapne Yusuf Bankar Dekha Jaise hi Maine ye Jumla Suna Mere Rongte khade ho Gaye, Meri kainchi Ki Tarah Chalti Zubaan Band Ho Gai. Mere Paas Ab Koi bhi Jawab Nahin tha Jo Baba Jaan ke Samne Pesh Karta.

Ye Bhi Padhen: Badnazri Ke Nuqsanat Or Gunah.

Mard Hona Koi Badi Baat Yaa Kaam Nahin hai Mard Banna Asal Mardangi hai. Kya Aapne Kisi Kabhi Ladki Ko Dekhkar Nazar Jhukane ki Koshish ki? Kabhi Opposite Gender ki Taraf se ki Gai Offer "No" Bola hai? Gunaah ke mauke hote Hue Sirf Zaat e Khuda ke Liye Khud Ko Piche Hataya hai?


Tazkiya e Nafs (Khwahish ke Baad Gunaah se Bachne) ka Maza bhi Kabhi Chakha hai Tumne? Gaali, Gussa, Nafrat Hasrat aur Riyakaari ko Sirf ALLAH Ki Raza ke Liye Khatm Karne ki Koshish Ki hai?


Qasam Khuda ki Duniya imtihaan Gaah hai ise Hamesha ki Zindagi Naa Samajhe ALLAH ne Jo Quwwat, Jurrat, Himmat Aur Khud pr Control Jaisi Ne'amat Aapko Ata Ki hai Unhen Usi ki Raah me istemal Karen.


Aap Roze Mehshar Kisi Gair Yaa Naa Mehram ke Amal ke Bilkul Jimmedaar Nahin Honge Lekin Apne Aamaal ke Liye Jawab deh Jarur honge. Tab Aapke Heele aur Bahaane Kisi Kaam Nahin Aa'enge aur Roze mehsar Khuda ne Yahi Sawal Kiya aur Aapne Aisa hi Jawab Diya to Yaad Rakhiye Bach Nahi Sakenge Kyunki Duniya to hai hi Aazmaish ka Maidaan.


Agar Duniya me Gunaah ki Taraf Bulaane Wale Log Aaye the To Yaad Rakhiye Hamari Rehnumaai ke Liye Kai Azeem Log (Ambiyaa, Sahaba aur Buzurgaan e Deen) Aaye The. Kya Unki Itteba Nahi Kar Sakte the?


ALLAH Humko Apni Jimmedaariyan Puri karne aur imtihaan e Duniya mein Kaamyaabi ki Taufik ata Farmaye (Aameen)

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url