Zina Kya Hai

Jaisa ki Ham Sabhi Jaante hain ki Aajkal Hamare Muaashre me Behayai Kitni Zyada badhti Jaa Rahi hai, Ladke aur Ladkiya Modern Banne ki Koshish me Badkaari ki Taraf Jaa Rahe hai.

Zina Kya Hai
Zina Kya Hai



Is Badkaari ko Badhawa Dene me Sabse Bada Haath Aaj ke Waqt me Mobile aur TV (Television) ka hai insab me insaan Behuda Chizon ko Dekhta hai aur phir Uspar Amal bhi karta hai.

Aur Doosri sabse Badi wajah ye hai ki Aajkal Bachchon ki Shadi me Bahut Takheer ki jati hai.

Yaa Bachche Pahle Apne Pairon par Khade Hone ki Bila'wajah ki koshish karte hain, Naa'mahram ko Dost Banate hain Yaa Galat Doston aur Saheliyon ki Dosti ki Wajah se ye Behayayi me Mubtila hone lagte hain.

Ye Bhi Padhen:- Engagement In Islam

Phir Shaitani Waswason aur Nafsiyaati Khwahish ki wajah se pahle to ye Chhote Chhote Gunahon ke Kaam karte hai aur Uske Aadi ban jaate hain Fir Bade Bade Gunahon ke Kaam Karne Lagte hain, aur Usme Aajkal jo Sabse Bada Gunaah kar Rahe hain wo hai ZINAA.

Zinaa Ek Bahut Bada aur Sakht'tareen Gunaah hai lekin aaj ye itna Aam ho gaya hai aur isme Zyadatar Log mubtila ho Gaye hain fir chahe Ladka ho ya Ladki, aur Hadd to ye hai ki Shaadi-Shuda log yani Jinki Shadi ho Chuki hai wo bhi Ghar me Maujood Halaal Cheez ko chhodg kar Baahar Zina ke liye Gandagi me Munh Maar Rahe hain.

Aur is Sakht'tareen Gunaah ko Gunaah bhi Nahin Samajhte hain, Lekin aisa Karne walo ki Saza Duniya me bhi rakhi gayi hai aur Aakhirat me bhi, Marne ke Baad ALLAH iski Sakht Saza dega.

Zina Kya Hai?

Jab ek Mard Ek Aisi Aurat se Hambistari (Jismaani Tallukaat Qayam) Kare Jo Uski Biwi Nahi hai Yaani Uske Liye Halaal Nahi hai to Ye Zinaa Kehlata hai aur Donon Gunaahgaar honge, Fir Chahe Donon Raazi hi Kyun Naa Hon.

Zina ki Kismen (Types)

  1. Haraam Mubashrat,
  2. Soch ka Zina,
  3. Munh ka Zina,
  4. Aankhon ka Zina,
  5. Kaano ka Zina,
  6. Haath ka Zina,
  7. Pairon ka Zina,

Haraam Mubashrat:

Yaani Aise Mard o Aurat ka ek Saath Jismaani Taalluqaat Qayam karna jo Ek Dusre par Halaal Naa the, Matlab Ye ki Unka ek Dusre se Nikaah Naa hua tha, Phir Chaahe Wo Donon iske liye Raazi hi Kyun Naa the Wo Zinaa hi Kahlayega, isi Tarah Ladki ka Ladki ke Saath aur Mard ka Mard ke Saath Mubashrat bhi Zinaa hi hai Balki Aam Zina se Sakht'tareen Zina hai. Aur Yaad Rakhe Gair Muslim ke Sath bhi Zina, Zina Hi Hai Jo ise Jayez Samjhe wo Musalmaan Nahi.

Aankhon ka Zinaa:

Koi Mard ya Aurat Apni Aankhon se Kisi Gair'mahram ko Shahwat ki Nigaah se Dekhta hai, Yaa Kasdan (jaanboojh kar) Bila Wajah Dekhta hai, Nange Yaa Adhnange ko Kasdan Dekhta hai, Gandi ya Nangi Filmen aur Videos Dekhta hai, Bazaron aur Galiyon me Baith kar Logon ko Dekh kar Aankhon ko Sehwat Deta hai Ye Sab Aankhon ka Zinaa hai.

Munh ka Zinaa:

Jab koi Mard ya Aurat kisi Gair'mahram ke Sath Ashleel aur Behayayi w Zinakari Wali Baaten kare Fir chahe Wo Dost ho ya Saheli ho Yaa Fir Ajnabi, Phone pr Ho Yaa aur Kisi Tarah se, Ye Munh ka Zina hai.

Haath ka Zina:

Jab Koi Mard ya Aurat kisi Gair'mahram ko Ya Dost ko Ya saheli ko Ya Ajnabi ko Shahwat ke Saath Qasdan Chhoota hai Ye Hath ka Zina kahlata hai, isi Tarah Mushtzani (Mard Aurat Dono ka) Karna bhi Haath ka Zina hai.

Pairon ka Zina:

Jab Kisi Gair'mahram ke Paas Gandi Soch Rakh kar Jane ke Liye Kadam Badhata hai, Yaani Apne Pairo ke Zariye Zina Jaise Bade Gunaah ke Liye Faasle Tay karta hai to ise Pairo ka Zina Kahte hai.


ALLAH Ta'ala ki Baargaah me Dua Hai ki Wo Apne Habeeb ke Sadqe Tufail Hm Sab ko is Gunaah se aur iski Nahusat se Bachaye. Aameen Summa Aameen



Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url