Karbala Ka Pura Waqia
Waqia e karbala tareekh ka dard naak Waqia hai, Ye haqq aur baatil ka waqia hai, Ye do alag alag shakhshiyaat ke beech ka waqia hai, ye do alag nazariyat ka waqia hai.
Yazeed zulm ki nishani Hussain Aman ki nishani, Yazeed jabar ka putla Hussain SABR ke paikar!
Yazeed apni kaali kartooton se apne zulm se duniya mein jaana gaya aur Hussain haqq aur sacch ke sher ban kar duniya mein jaane gaye.
KARBALA ke tapte maidaan mein Hussaini aur Yazeedi do group samne aate hain
Yazeed maisun ka na paak beta thha aur Hussain Mohammad e Arbi ki beti Fatimatuz رضی اللہ عنہ zahra ka beta thha subhaan ALLAH!
Yazeed nashe mein dhutt reh kar namazein chhor deta thha... Hussain ki KARBALA mein bhi namazein qaza nahi hui.
Yazeed ne ek hajj kiya usme bhi be shumar gunaah kiye... Hussain ne sawaari hone ke ba wujood bhi 25 hajj paidal kiye.
Yazeed gande logon ka dost thha gande gande kaam uske shauq thhe deen e islaam uske liye mazaq thha naapaki uske andar phoot phoot kar bhari thhi aur woh chahta thha ke Hazrat imaam Hussain uske haath par bait kar lein matlab uske hukmo ko maanne wale ban jaaen.
Woh Hussain jinke liye Hamare Nabi ne farma diya ke woh jannati nau jawaano ke sardaar hain! Jinke dost yaar bhi unke jaise ALLAH wale kahin Hazrat Abdullah ibn e abbas, kahin Hazrat Abdullah ibn e umar thhe subhan ALLAH.
Zamane ne woh manzar bhi dekha hai hasnain e kareemain kam umri ki wajah se chalte chalte girte hain toh Hamare Nabi khutba chhor kar unhe uthaate hain! Itni mohabbat thhi aapko apne nawason se.
Hamare Nabi dono ko jab bhi apne kandho par bitha kar ghumate hazrat Umar farmate waah waah kya sawaari aayi hai...tab Hamare Nabi ne farmaya Umar sawaari dekh rahe ho sawaar bhi toh dekho kaise hain! Wallahi.
KARBALA ka waqya kuch yu hai ke jab yazeed takht nasheen hota hai toh use ye fikr hoti hai ke Hazrat imaam Hussain, Abdullah bin umar, Abdullah ibn e abbas, ye sab meri bait karein matlb mere under mein aaye aur jo hukm mai du ye use poora karein! Isliye usne Waleed bin uqba ko likhta hai ke har soorat mein inki bait lo inhe laao agar ye na aaye toh phir inn par sakhti karo.
Aapko paigam milta hai ke aapko bulaya gaya aap gae tab yazeed ne apne na paak iraade bataae aur unn par zor zbrdsti karne laga ke aapko bait leni hogi.
Aap jab nikle toh ek sipaahi ne unhe roka tab aapne farmaya tujhe pata nahi mai kaun hoon??? Mai Ali ka beta hoon Mohammad ka nawasa hoon mai yazeed ki bait se inkaar karta hoon.
Aap wahan se nikalte hi apni behen Zainab se mile kaha "Zainab hume Madinah chhorna hoga!" farmaya kyun? Farmaya Yazeed apni zidd ke chalte kisi ki nahi sunega aur jung chherega mai nahi chahta mere nana ke sheher mein khoon kharaba ho hume yanha se chalna hoga.
Aasan nahi thha unke liye Madinah chhorna woh jagah chhorna jahan unka Bachpan guzra unke nana ka roza e Mubarak! Aur woh bhi tab jab unhe pata thha ke bass ye aakhri ghariyan hain madeene mein phir kabhi woh madeene nahi aaenge parhte parhte Imaam Hussain ko feel bhi karte jaiyye woh Manzar ko imagine kijiye bass ke kaise kya kiya hoga kaisi halat ho rahi hogi uss waqt.
Aapke sath aapke ehl e khana bhi madeene ko chhor kar makka ki jaanib jaate hain! 3 Sha'abaan ko aap pohanchte hain wahan aapko koofiyon ke letters aate rehte hain aap Muslim bin aqeel ko jaanch parach karne ke liye wahan bhejte hain رضی اللہ عنہ pata lagaane ke liye kya mua'amla chal raha hai jaa ke dekho! 40,000 kufi aapke haath par bait kar lete hain.
8 dhul hajj jab aap hajj karne jaate hain toh pata chalta hai ke haajiyon ke roop mein qaatil chhupa diye hain toh aap ehram ko hajj ki bajaye umre mein badalte hain aur kufe ki taraf barhte hain.
Kaainaat waalon zara dil par haath rakh kar dekho ye kitna mushkil marhala thha kitni hard situation thhi
Iss deen jisme aaj hum sab sukoon se jee rahe hain ise bachaane ke liye Hazrat imaam Hussain ne kitna bara qadam uthaya thha gaur karein...aapko sab mana karte gaye rokte rahe ke matt jaiyye lekin aapne farmaya ke.
Al kufi la yuwfi... Kufi kabhi wafa nahi karte! Aapke waalid ko wahan shaheed kiya gaya hai..... aapne farmaya....
Mere gumm kusaaro mere mehrbaano...na roko mujhko jaane do! Mai jaata hoon nana ke deen ko bachaane! Mai jaata hoon ke duniya par wafa ka naam reh jaae! Mai rahoon na rahoon par azmat e islaam reh jaaye! Mai nahi jaata toh Nabi ke ghar ki Aaan jaati hai...tumhara deen jaata hai meri gairat e imaan jaati hai.
Aap jaate hi hain ke aapko raaste mein khabar mil jaati hai ke koofe waalon ne be wafai kardi unhone Muslim bin aqeel Ako shaheed kar diya! Naumaan bin baseer ma'azoor kar diye gaye.
Muslim bin aqeel ki bait par jo 40,000 log aaye thhe woh unke peeche namaz parh rahe thhe aur jab unhone salam phera toh dekha peeche ek bhi insan nahi sabne apne darwaze bandh kar liye darr ke maare ke kahin muslim bin Aqeel unke ghar na aah jaae... aur phir be dardi se unhe Shaheed kar diya gaya.
Aap abhi raaste mein hi thhe unhe khabar milti hai ke Muslim bin aqeel be dardi se shaheed kar diye gaye woh log jinhone aapko khatt likh kar bulwaya thha woh 40,000 log jinhone kaha aap aah jaiyye hum aapke sath hai, hum aapka intezar kar rahe hain sabke sab badal gae aur baitein tor di! Aap phir bhi aage barhne lage aapke sab doston ne ghar walon ne ehle khana ne aapko mana kiya ke aage na jaaen woh log aapko bohat buri tareeqe se shaheed kar denge.
Aapne farmaya mujhe sab pata hai mere sath kya hoga mai kisi cheez se be khabar nahi lekin "Mai isliye jaa raha hoon Qayamat tak zulm jabar aur na insaafi ke khilaaf khare hone wale ke liye koi namoona toh ho.
Imaam Hussain apne khoon se do line banayi ek hissa yazeed walon ka ek hissa Hussain walon ka! Ek haqq wale ek zulm wale! Ek insaf wale ek dhoka dene wale, Ek sach wale ek jhoot wale, ek raham karne wale ek dil aazari karne wlae ab sochein kaun Hussaini hai kaun yazeedi hai.
Aap KARBALA pohnche apne ehle khana ke saath 7 Muharramul haram se aap par paani khana sab bandh kar diya gaya! ALLAH hu akbar...Furaat ki naher saamne beh rahi hai lekin ek qatra bhi Unke nawason ko nahi Diya jaa raha jinke liye tamam Kaainaat ko banaya gaya! Sabr ka imtehan thha...9 Muharramul haram ko poori raat ibadat mein basar ki diya bujha diya aapne apne ehle khana se farmaya ke inhe mera khoon chhahyye tum sab agar jana chaho toh chale jaao mai iss baat ka bura nahi manaaunga aur tumlog jaaoge.
Toh ye log rokenge bhi nahi kyunki inhe sirf mujhse matlab hai tumse nahi! Aadhi raat ke ba'ad jab diya roshan kiya aur peeche dekha toh koi bhi chhor kar nahi gaya sab wahin bethe hue thhe.
Sab wafa daaron ne farmaya ke hume har tareeqe se agar cheer kar bhi rakh denge tab bhi hamara ek ek hissa aapke saath hi rahega ya sayyadi! Jung shuru hui ek taraf hazaron ki ta'adaad khaaye peeye mazboot log dusri aur 3 din ke bhooke pyase kamzor 72 log.
Hazrat Sukaina 6 maheene ke pyase aur doodh ke liye tarap rahe hazrat ali ashgar ko le kar apne baba ke paas aayin aur farmaya ashgar ko pyas lagi hai baba...aap nannhe Ali Asghar ko le kar nehr e Furaat ke paas le kar gaye chaha wahan se chullu mein pani le kar thhora halaq mein daal dein taaki bacche ko kuchh toh sabar aah jaae.
Lekin unn zaalimo ne chhote bacche ko bhi ek ek boond ke liye tarpaya! Aapne farmaya tumhe mera khoon chahyye iss bacche se kya dushmani hai ise kyun tarpa rahe ho unn yazeediyon ne zara bhi na suni na raham kiya aur chhote se Ali Ashgar ki gardan par teer chala diya raawi farmate hain ke woh teer koi chhota mota teer nahi thha ALLAH hu akbar woh jaanwaron ko khatm karne ke liye use kiya jane wala teer thha jo chhoti si nannhi si gardan ko cheer kar nikla...ap ne aap ke khoon ko chullu mein liya aur Aasman ki taraf uchaal kar kaha ya ALLAH! Hussain ki iss qurbani ko bhi Qubool kar.
Parhne waalon socho zara rona aah jana chahyye hume parhte parhte mujhe likhte likhte rona aarha hai aapne parhte parhte aana chayyye yahi pakke imaan ki nishaani hai.
Bhai Abbas ke baazoo kaat diye gaye aap unki laash ko kheme tak laate hain! Ab Ali Akbar ghore par sawaar ho rahe hain 18 saal ke jawan bete ko sawaar kar rahe hain Imaam Hussain sandar se dil phata ja raha hai lekin kya karte ALLAH raah par bhejna thha apne Nana ke deen ko urooj par lana thha...Ali Akbar bhi thhori dair mein larne ke ba'ad ghore se girte hain aap apne jawaan bete ki laash ko kaandhe par utha kar kheme tak laate hain.
Ek ek karke 71 laashein kheme mein jama ho jaati hain ab baari aati hai Hazrat imaam Hussain ki ab aap ghore par suwaar ho rahe hain bahen Zainab ki abb halat suniye kaisi ho rahi hain aap apne aapko sambhaal nahi pa Rahi zor zor se ro rahi hain unhe pata hai mera bhai akela jaa raha hai woh hazaron ki ta'adaad mein itne bare bare hathiyar le kar khare hain unhe pata hai kya anjaam hone wala hai aap ro ro kar bhai bhai pukaar rahi hain.
Hazrat Zainab ki bahadduri be misaal thhi KARBALA ke maidaan mein! Aapne apne do beton ko khoya lekin jab bhai ki baari aayi aap apna sabr kho chuki! Hazrat imaam Hussain ne farmaya meri behen SABR karo ye tumhe Rab ke aur qareeb kehne.
Karega SABR se hi zindagi kamyab hogi! SABR rakho aur apni qaum ko parde ki taakeed karo ALLAH hu akbar ALLAH waalon ke kya.
Aap Imaam Hussain yazidiyon ko farmate hain mujhe kyun maarte ho kya tumhe nahi maloom ke mai haqq par hoon? Mai jannati nau jawaano ka sardar hoon? Tumhe ALLAH se darr nahi lagta aisa karte hue lekin kisi ne unki nahi suni aur be rehmo ne unhe Shaheed kar diya.
Yazeed ne aapko tab shaheed kiya jab aap sajde ki halat mein thhe aap sajda kar rahe thhe aur aapke Sar e Mubarak ko shaheed
(10) kiya gaya! ALLAH hu akbar... Yazeed e paleet aapko apne aage jhukana chahta thha lekin aap nahi jhuke aap apne RAB ke aage jhuke aur tab unhe Shaheed kiya! Kaha jata hai unn zaalimo ne aapke sar e Mubarak ko naize par rakh kar taaziya jaisa bana kar poori 72 gardano ko ghumaya gaya aur dhol taashe bajaae gaye.
Aaj kuch bewaqoof Yazeed ki tarah khushiyan mana rahe hain taaziye banaate hain dhhol bajaate hain jo aisa karte hain woh Hussain wale nahi hain woh Yazeed ke saath wale hain رضی اللہ عنہ
Hussaini toh namazi hote hain har haal mein namazein parhte hain na ki namazein qaza karte hain!
ALLAH kareem hidayat de jaahil musalmano ko aur hume 5 waqt ka saccha pakka namazi banaye!
Mai salaam karta hoon Hazrat imaam Hussain ko aur unn 72 bahadduron ko jinke baare mein gaandhi ji ne kaha thha ke agar mere paas 72 KARBALA walon mein se koi ek bhi hota toh mai India ko ek din mein angrezo se aazad kara leta.
Likhne ko toh aur bhi bohat kuch hai aapke baar mein lekin limit nahi hai abhi please aage bhi share kijiye har kisi ko iss waaqye ki khabar honi chahyvel Jazak Andagto Jazak ALLAH hu khaira