Aashura Ke Din Ki Fazilat || Ashoora Ka Roza

Moharram ul haram ki 10 taarikh ko AA'ASHOORA kaha jata hai. Iss din ki jitni fazilatein batai jaae woh kam hai.

Aashura Ke Din Ki Fazilat


 
Ye Woh din hain jisme Deen E islaam apne Urooj par aaya thha. Imam Hussain ki shahadat ke ba'ad Yahi Woh din hai jisme ALLAH ne Moosa A.s ko or unki Qaum ko Firaun ke zulm o Sitam se Najaat di thhi.

Jiske shukrane mein Moosa A.s ne is din roza rakha tha. Yahoodiyon aur nasara ne bhi isi din Roza rakh kar Khushi ka izhar
kiya.

Jab Hamare pyare pyare Nabi ko is baat ka pata laga ke Yahoodi aur nasara iss din ka roza rakhte hain toh aapne Unki Mukhalifat par do roze rakhe aur Farmaya tumse zyda hum Moosa A.s Se mohabbat krne wale or Qareeb tar hain. Yahoodi aur nasara ki Musabehat na ho iss liye Hum do roze rakhenege.

Isi liye jabhi bhi AA'ASHOORA ka roza rakhe toh ya toh 9 aur 10 rakhe ya 10 aur 11 rakhein.. kyunki sirf 10 ka roza yahoodiyon aur nasara ki pairweeh karna hoga.

AA'ASHOORA ka roza rakhna Sunnat e Mustafa hai aur Sunnat e Moosa A.s nhi hai.

Lihaza iss din roze rakhein ki SARKAR ne farmaya hai ki "Mujhe ALLAH se ummeed hai ki AA'ASHOORA ka ek roza pichhle ek saal ke Gunaahon ka kaffara banega. (Sahih Muslim 2746).

Ek sahabiya Rabi Binte Mua'awz ka waqiya hai ke woh farmati hain ki Hum khud roza rakhti hain aur zyda se zyda logon ko iski taaqeed bhi karti hain apne bacchon ko bhi roza rakhwati hain aur Oon ke Gudde aur gudiya bana kar rakhte jab bacche khane peene ka sawal karte toh hum unhe woh khilone de dete aur iftar tak unhe yunhi behlate. (Sahih muslim 1960).

Jab Ramdaan E Kareem ke roze farz nahii hue thhe tab AA'ASHOORA ka roza farz thha.

Ramzaan ke rozon ke ba'ad sabse afzal roze Moharram ul haram ke hain. AA'ASHOORA ka din ye bhi saabit karta hai ki hum MUSLIMS kahin bhi hon hamare dilon mein apne Muslims bhai bahen ki Mohabbat aaj bhi zinda hai.

Hume hamare Nabiyon se aur unki Aal se be tahasha Mohabbat hai.

Kyunki Hume iss baat ki khushi bhi hai ke Moosa pull ko aur unki Qaum ko iss din Firaun se Najaat mili.

Aur Hamara dil ye Soch kar bhi taar taar hota hai ke yahi woh din thha jisme Karbala waalon ko Bhooka pyasa tadpa tadpa kar shaheed kiya gaya.

Yahi woh din thha jisme shehzada e Rasool ko Sajde ki halat mein Yazeed e la'aeen ne unka Mubarak sa sar Unke tan se juda kiya aur unhe Shaheed kiya.

Aur Kyun na ho hum imaan Walon ko ek dusre se Mohabbat o hum dardi yahi tohh hamara Deen E islaam hai yahi toh Hamara RAB Qur'an e paak mein farma raha hai ki. Yaani Musalman Mard o Aurat Aapas mein Ek dusre ke dost hain. (9:71).

Aa'ashoora Ke Din Ki Kuch Khaas Nekiyan Jaise:
  1. Roza rakhna.
  2. Sadqah karna.
  3. Nafl Namaz parhna.
  4. 1000 martaba Sureh ikhlas yaani Qul-hu-Allah hu ahad padhein.
  5. Yateem ke sar par haath pherein.
  6. Apne ghar walon ke rizq ko badhana.
  7. Gusl karna.
  8. Surma lagana.
  9. Nakhoon kaatna.
  10. Mareezon ki iyadat karna matib unki khair khabr lena ke ye sunnat e Mustafa hai.
  11. Dushmano se milap karna samjhota kama.
(Jannati Zaiwar: 158)
Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url