Nek Shohar Or Nek Biwi
Assalamualaikum Mere pyaare Bhaio or behno. Is post mein main batayahun Nek Shohar Or Nek Biwi ke baare mein kuch ahem baaten toh aapse request hai ki aap is post ko Dhyan se padhen or Har ke Musalman Bhai or behen tak is post ko share zarur Karen.
Behtarin Shohar:
RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshaad Farmaaya :- Tum Me Woh Behtar Hai Jo Apni Biwiyon Ke Sath Behtar Hai Aur Mein Tumme Sabse Achcha Hun Matlab Ye Hua Ke Woh Insaan Sabse Achcha Hai Jo Apni Biwi Se Achcha Rehta Hai Aur Mein Apni Biwiyon Se Tumse Zyada Achcha Rehta Hun. (Ibne Maja, Tirmizi)
ALLAH Ta'ala Quran Me Farmaya:- Aurton Ka Haq Mardon Par Waisa Hi Hai Jaisa Dastoor Ke Mutabiq Mar- don Ka Haq Aurton Par Hai, Al Batta Mardo Ko Un Par Fazeelat Hasil Hai. (Al-Quran:-2:228).
Rasool Allah (ﷺ) Ne Farmaaya :- Aurton Se Behtar Sulook Karo Kyuki Aurat Pasli Se Paida Ki Gayi Hai Aur Pasli Ka Sabse Zyada Teda Hissa Woh Hai Jo Uska Buland Hissa Hai Agar Tu Use Seedha Karne Lagega To Use Tod Dega Aur Agar Chhod Dega To Tedhi Hi Rahegi! Lihaza Aurton Se Achcha Sulook Karo. (Bukhari)
Koi Momin Mard, Momin Aurat, Yaani Apni Biwi Se Bhugz (Nafrat) Na Rakhe, Kiyuki Agar Use Uski Koi Aadat Napasand Hai To Koi Dusri Pasand Bhi Hogi. (Muslim).
RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaaya :- Aur Dastoor Ke Mutabiq Tumhari Biwiyon Ki Khuraaq Aur Phoshaaq Tumhare Zimme Hai. (Abu Dawood)
Rasool Allah (ﷺ) Se Pucha Gaya Ke Biwi Ka Mard Par Kiya Haq Hai To Aap Ne Farmaya Ke, Jab Tu Khana Khaye To Use Khana Khila Aur Jab Tu Pehne to Use Bhi Pehna Aur Uske Muh Par Na Maar Use Bura Bhala Na Kahe Aur Na Hi Usse Qata Talluq Kar Magar Ye Ke Ghar Ke Ander Ander Wazahat, Yani Kisi Baat Par Naraz Ho To Use Ghar Se Dusri Jagah Na Bhagao (Abu Dawood).
RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaaya :- Allah Ke Nazdeek Us Insan Ka Maqam Qayamat Ke Din Badtareen Hoga Jo Apni Biwi Ki Raaz Ki Batein Dusro Se Karta Raha Hai, Apni Biwi Ka Koi Raaz Na Khole Aur Na Hi Uske Aib Ko Khole Isliye Ki Wo Uska Ameen Hai Aur Uski Hifazat Aur Bachao Ka Use Huqm Diya Gaya Hai (Muslim)
RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaaya :- "Suno!! Aurton Ke Baare Me Achchi Naseehat Qubool Karo Wo Tumhare Pas Paband Ho Chuki Hain. (Bukhari,Muslim).
Rasool Allah (ﷺ) Ne Farmaaya :- Sabse Bura Aadmi Woh Hai Jo Apni Biwi Ko Sataye. (Tabrani)
RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya :- Jiski Do Biwiyan Ho Aur Wo Un Me Se Ek Ki Taraf Hi Mayeel (Attract) Ho To Wo Qayamat Ke Din Is Haal Me Aayega Ke Uska Ek Pehlu Jhuka Hoga (Abu Dawood).
- Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, Khush Akhlaqi Aur Husne Sulook Ke Sath Pesh Aaye
- Jo Apni Biwi Ke Huqooq Ada Karne Me Kisi Qism Ki Gaflat Aur Kotahi Na Kare.
- Jo Apni Biwi Ki Khubiyon Par Nazar Rakhe Aur Mamooli Galtiyon Ko Nazar Andaz Kare Aur Us Par Kabhi Kisi Tarah Ka Zulm Na Kare Bewajah Zyadti Na Kare.
- Jo Apni Biwi Ka Is Tarah Hokar Rahe Ki Kisi Ajnabi Aurat Par Nigah Na Dale.
- Jo Apni Biwi Ko Apne Aish Wa Ishrat Me Barabar Samjhe.
- Jo Apni Biwi Ko Deendari Ki Takeed Karta Rahe Aur Shariyat Ki Rah Par Chalaye Agar Wo Nahi Janti To Use Ijazat De Ki Wo Majlis Ilm Me Shareek Ho Aur Ilm Hasil Kare Isiliye Ki Aurat Ko Apne Deen Aur Rooh Ki Islaah Ki Zyada Zaroorat Hai Jitni Use Khane Pine Ki Zaroorat Hai.
- Jo Apni Biwi Ki Tand Mijazi Aur Bad Akhlaqi Par Sabar Kare Aur Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon Aur Ranj O Gham Me Dil Joi Aur Wafadari Ka Saboot De.
- Jo Apni Biwi Ko Parde Me Rakh Kar Izzat Wa Aabru Ki Hifazat Kare Aur Apni Biwi Ko Zillat Wa Ruswai Se Bachaye Rakhe.
- Jo Apni Biwi Ke Akhrajat Me Bakhili Aur Kanjoosi Na Kare Jo Poori Kosish Kare Uski Har Khwahish Ko Poora Karne Ki Uski Har Choti Choti Khushiyon Ka Khayal Rakhne Ki.
- Jo Apni Biwi Par Is Tarah Qabo Rakhe Ki Woh Kisi Burai Ki Taraf Rukh Bhi Na Kar Sake. Note:-(Qaboo Ka Matlab Ye Nahi Ke Aap Uspe Hukum Chalao, Is Andaz Me Usko Samjhao Ki Usko Ye Na Lage Ki Aap Uspe Lagam Laga Rahe Ho, Usko Control Karne Ki Koshish Kar Rahe Ho Ya Usko Orders De Rahe Ho, Jo Bhi Bolna Hai Usko Pyaar Se Samjhao, Dastoor Ke Sath Nibhaya Karo).
- Jo Apni Biwi Ki Khoobsurti Se Zyada Uske Akhlaaq Ko Ehmiyat De.
Kuch Shauhar Biwi Ko Late To Bade Pyaar Se Hai, Par Shadi Hone Ke Baad Biwi Ko Naukrani Bana Dete Hai, Tujhe Meri Maa,Bhai,Behen Ki Khidmat Karni Hai, Aisa Nahi Karna Waisa
Nahi Karna Wagaira Wagaira... Bichari Ko Qaid Bana Kar Rakh Dete Hai Aur Agar Galti Se Kisi Din Kisi Kaam Me Kami Reh Gayi Ya Koi Farmayish Kardi To Gaali Galoch Hoti Hai Aur Uske Khandan Walo Ki Jo Halat Zaar Hoti Hai Wo Alag... Ha Usko Apne Shohar Aur Ghar Walo Ka Khayal Rakhna Chahiye,
Khayal Rakhna Alag Baat Hai Aur Har Waqt Naukrani Ki Tarah Kaam Karwana Ye Sahi Nahi,
Shohar Biwi Ka Ehsas Kare Use Izzat De To Biwi Use Apne Sir Ka Taaj Banayegi Aur Uske Khandan Walo Ko Apne Sir Aankho Par Baithayegi... Agar Aap Bina Wajah Apni Biwi Par Zyadti Karoge To Allah Ko Jawab Dena Hoga.
Aapki Biwi Aapka Adha Deen Mukammal Karti Hai, Sirf Aapke Bharose Wo Apna Ghar Sab Kuch Chod Ke Aapke Pas Aati Hai, Wo Maut Ke Muh Me Jake Aapki Nasal Ko Paida Karti Hai, Allah Ke Liye Uspe Zulm Na Karo, Uska Har Ek Haq Ada Karo, Usko Khush Rakho, Aurat Phool Ki Tarah Hoti Hai.
Agar Usko Zor Se Pakdoge To Woh Murjha Jayegi, Usko Sirf Aapse Izzat Aur Pyar Chahiye, Sirf Aapke Do Mithe Bol Pe Wo Khush Ho Jati Hai, Shadi Ke Bad Ek Ladki Ke Liye Uska Shohar Hi Uski Poori Duniya Hoti Hai, Allah Ke Liye Us Duniya Ko Khushal Rakho, Biwi Ki Aankh Se Kabhi Ansoo Na Ane Dena, Uski Ankh Se Nikla Har Ansu Apko Mehnga Padega, Aurat Sirf Do Cheezo Ki Talabgaar Hoti Hai... "Izzat Aur Pyaar".
Ya Allah Har Shohar Ko Ispe Amal Karne Wala Bana De Aur Jo Shohar Apni Biwi Ka Haq Ada Nahi Kar Rahe Hai, Unko Hidayat Ata Farma...
Nek Biwi:
Rasool Allah (ﷺ) Ne Farmaaya :- Duniya Faida Uthane Ki Cheez Hai Aur Duniya Mein Sabse Zyada Faida Dene Wali Cheez Nek Biwi Hai. (Sahih Muslim)
Rasool Allah Se Kisi Ne Arz Kiya Ke Behtareen Aurat Ki Pehchan Kiya Hai? Aap Ne Farmaya Jo Aurat Apne Shohar Ka Kehna Maane. (Nasa).
Rasool Allah (ﷺ) Ne Farmaaya :- Jo Aurat 5 Time Namaz Padhe, Ramzan Ke Roze Rakhe, Apni Izzat Aabroo Ki Hifazat Kare Aur Apne Shohar Ka Kehna Sune To Woh Jannat Ke Darwaazo Me Se Jis Darwaaze Se Chahe Dakhil Ho Jayegi.
Rasool Allah (ﷺ) Ne Farmaaya :- Koi Aurat Bagair Apne Shohar Ki Ijazat Ke Nafil Roza Nahi Rakh Sakti (Bukhari).
Rasool Allah (ﷺ) Ne Farmaaya :- Agar Mein Kisi Ke Liye Sajde Ka Hukm Deta To Aurton Ko Hukm Deta Ki Woh Apne Shohar Ko Sajda Kare (Tirmizi)
RasoolAllah se pucha gaya ki, Behtreen Aurat konsi hai? To Aap ne farmaya: Wo Aurat jisko uska Shohar jab dekhe to wo usko khush kar de, aur jo hukm wo (Shohar) usko de wo uski farmabardari kare Aur Apne Nafs aur Daulat me uske khilaf koi kaam na kare. (Sunan Nasai).
- Jo Apne Shohar Ki Baat Mane Aur Usko Poora Karna Apna Farz Samjhe.
- Jo Apne Shohar Ke Sare Haq PoreKare.
- Jo Apne Shohar Ki Khubiyan Par Nazar Rakhe Aur Uski Khamiyon Ko Nazar Andaaz Karti Rahe.
- Jo Khud Takleef Utha Kar Apne Shohar Ko Aaraam Pahuchane Ki Hamesha Kosish Karti Rahe.
- Jo Apne Shohar Se Uski Aamdani Se Zyada Ka Kharcha Karne Ka Na Bole Sirf Jaiz Kharcha Karne Ko Hi Bole.
- Jo Apne Shohar Ke Siwa Kisi Ajnabi Mard Par Nigah Na Dale Na Kisi Ki Nigah Apne Uper Padne De.
- Jo Parde Me Rahe Aur Apne Shohar Ki Izzat O Namoos Ki Hifazat Kare.
- Jo Shohar Ke Maal Aur Makan Aur Saman Aur Khud Apni Jaat Ko Shohar Ki Amanat Samajh Kar Har Cheez Ki Hifazat-O-Nigehbani Karti Rahe.
- Jo Apne Shohar Ki Musibat Me Apni Jaani-O-Maali Qurbani Ke Sath wafadari ka saboot de.
- Jo Allah Ka Haq Ada Karti Rahe Sath Hi Shohar Ki Baat Bhi Maane. Jo Padosiyon (Aurton) Aur Milne Jhulne Wali Aurton Yaani Saas, Nanand, Sasurali Rishtedar Ke Sath Khush Akhlaqi (Achchi Tarah Mile) Jo Maika, Sasural Dono Gharon Me Har Dil Azeez Aur Ba Izzat Ho.
- Jo Shohar Ke Gussa Karne Par Bhi Sabar Se Kaam Leti Hai Aur Jo Apne Shohar Ko Khush Karne Ke Liye Zeenat Ikhtiyar Kare.
- Jo Islam Par Amal Kare Aur Apne Shohar Aur Bachcho Ko Bhi Sikhaye.
AYE ALLAH
Har Biwi Ko Ispe Amal Karne Wali Bana De, Har Miya Biwi Ko Ek Dusre Ko Samajhne, Ek Dusre Ki Izzat Karne, Ek Dusre Ka Khayal Rakhne, Ek Dusre Ki Aakhirat Ki Fikr Karne Wale, Ek Dusre Se Pyaar Karne Wale Aur Bharosa Qayam Rakhne Wale Bana De. Ameen
Allah Har Miya-Biwi Ko Ek Dusre Ko Samajhne, Ek Dusre Ki Izzat Karne, Ek Dusre Ka Khayal Rakhne, Ek Dusre Se Pyar Karne Wala, Fikr Karne Wala, Bharosa Qayam Rakhne Wala Aur Ek Dusre Ki Aankho Ki Thandak Aur Dil Ka Sukoon Bana De (Ameen)