Hazrat Yunus Alaihissalam Ka Waqia

Hazrat Yunus Alaihissalam Ka Waqia


Aziz dosto, Hazrat Yunus (Alaihissalam) ko Allah Ta'ala ne qoum ninwaa ki taraf bheja, jo ki qadeem baabal shahar ke paas ka ek shahar tha. Yunus (Alaihissalam) ka zamana isaa (Alaihissalam) se taqreeban 800 saal pahle ka hai. ye qoum bhi buth parast thi. aur unhone lag bhag 1,00,000 bani israyeel ko qaid kar ke rakha tha.

Yunus (Alaihay Salam) ne 7 saal tak haq ki dawat di yani ki tableeg ki. lekin jab unki qoum par iss dawate haq ka asar na huwa aur wo apni buth parasti me lage rahe toh Yunus (Alaihay Salam) ne aakhir me Allah Ta'ala ke azaab ki dhamki de di, unki qoum ne fir bhi parwah nahi ki.

Jab Azab ka muqarrarah waqt qarib aa gaya aur azab ke asar nazar na aye toh Yunus (Alaihay Salam) Allah Ta'ala ki Ijazat ke bagair hi apni qoum ko chhod kar chale gaye. idhar jaise hi Yunus (Alaihay Salam) apni tashreef le gaye. toh unki qoum par azaab ke asar nazar aane shuru ho gaye, kaale-kaale badal chhaa gaye ghana kaala dhuwaa unki qoum ki taraf badhne lagaa.

Qoum ne Yunus (Alaihay Salam) ko talashna shuru kiya lekin woh nahi mile. to unki qoum khud hi apne biwi bachcho aur yaha tak ki apne jaanwaro ke saath ek maidaan me jamaa ho gaye aur Allah Ta'ala ki baargah me ro ro kar apne gunaaho ki maafi maangne lagi. Allah Ta'ala ne unn par se azaab ko taal diya.

Kisi bhi kaafir qoum ki taareekh me aur Allah Ta'ala ki sunnat jaariya me ye paheli misaal hai ki azaab dekhne ke baad kisi qoum ka imaan laana faidemand sabit huwa. nahi toh Allah Ta'ala ka tarika yahi hai ki ek baar azaab ka waqt muqarrar ho jaaye to fir taltaa nahi.

Yunus (Alaihay Salam) apni qoum se dur chale gaye. lekin woh aate-jaate musafir se apni qoum ka haal dariyaaft karte. jab unhe maalum huwa ki Allah Ta'ala unki qoum par se azaab taal diya hai to bhi woh wapas nahi gaye. kyunki unki qoum ne unn ko jhutlaaya tha. isiliye unki gairat ne gawaara na kiya ki woh wapas jaaye.

Ye bhi padhen: Hazrat Nooh Alaihissalam Ka Waqia

Ab chalte-chalte raste me ek dariya (samundar) aaya. Yunus (Alaihay Salam) ek kashti (naav) me sawaar ho gaye. kashti (naav) jab majhdhaar me pahunchi toh hichkole khaane lagi. kashti (naav) me jitne bhi log sawaar the, unn me se ek ne kaha,

"lagta hai hum me se koi ek gunaahgaar iss kashti me sawar hai. hame qurra andaaji karna chaahiye ki woh gunaahgaar koun hai."

Qurra Andaji matlab alag alag paper per sabke naam likh ker unme se 1 paper nikalna (Lucky draw type) Teen bar Qurra Andaji ki gayee aur teeno baar Yunus (Alaihay Salam) ka naam nikla, kashti (naav) ke musafiro ne Yunus (Alaihay Salam) ko dariya (samundar) me daal diya. waha ek badi machli (wheal fish) ne Yunus (Alaihay Salam) ko nigal liya. is tarah Yunus (Alaihay Salam) machli ke pait me pahoch gaye.

kai dino tak woh machli ke pait me hi rahe. waha unhone Allah Ta'ala se ye duwaa ki,

"Aye Allah Ta'ala koi nahi ma'abood siwaaye tere, tu paak hai, aur maine hi apni jaan par zulm kiya. aye Allah Ta'ala mere khataao ko maaf kar de".

Hazt yunus alaihissalaam pani me pahoche us machli e ne apko nigal liya. Allah ne machli se Farmaya jisko tune nigla hai eo teri rozi nahi hai balke maine apne nabi ko tere pet me unki Hifazat ke liye pahochaya hai. Unhe koi nuqasan nahi pahochna chahiye

Aap 40 dinon tak us machli ke pet me rahe. Aur Allah ki tasbeeh bayan farmate rahe.

Aap machli ke pet men rahte hue laa ilaahaa illaa antaa subahanaka inni kuntu min az zaalimin padhte rahe. Is tasbeh ki barkat se Allah karim ne aap ki sari mushkil asan farma di aur iske badaulat apko 40 dinon tak har Waqt sukoon Milta raha.

Tab waha par apko ek gao wala mila aap ne us gao wale se farmaya ke yahan par koi azab aya tha kya? Us gao wale ne apse farmaya ke yunus naam ke ek shakhs ne kafi dino pahle ek baat kahi thi ke agar buth parasti yahan ke logo ne nahi chore toh is shahar par Allah ka bahut bada azab naazil hoga.

Aap ne us gao wale se Farmaya ke kya aisa hua tha? Gao wale ne kaha ke jab woh shakha yaani hazrat yunus alaihissalaam jab basti se raat ko nikale to agle din pure shahar me badal chha gaye the aur chaaro taraf dhuaa hi dhuaa ho gaya tha.

Aisa lag raha tha jaise azab ane wala hai. Us waqt hume laga ke yunus ki baat bilkul sahi thi. Tab sare shahar ke kafi log apna sara saman aur apne parivar ko lekar shahar chor rahe the aur Allah se dua kar rahe the ke Allah unhe maaf kar de.

Us waqt waha ke logo ne Allah se dua ki ke ab shahar ka koi bhi admi buth parasti nahi karega aur kuch hi der me sare badal hatt gaye aur dhuaa ek dam se gayab ho gaya. Matlab Allah ne waha ke logo ko maaf kar diya tha. Yah sunkar aap hazart yunus alaihisalaam ne gao wale se Farmaya ke jis yunus ki tum baat kar rahe ho Woh mai hi hu.

Yah sunkar gao wala aap ke kadamo me jhuk gaya aur apse maafi mangne laga. Is tarah aap wapas apne shahar ki taraf laute uske baad apne waha par islam ka parcham lahraya aur waha ke sabhi logo ko ek Allah ki ibadat ke liye bataya.

Waqiya Complete Hua, Likhne Me Galti Hui Ho Toh Allah Maaf Farmaye.

Is Waqia Ko Apne Bhaion, Doston Or Apne Rishtedaron Ko Send Karen...


Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url