Hazrat Nooh Ali Salam Ki Kashti Ka Waqia

Aadam alehissalam ke 1 hazar saal ke ba'ad ALLAH ta'ala ne Ark ki Zameen raaften par apne uss bande ko bheja jinke bohat se naam hain jinhe Abdul ghaffar keh kar bulaya gaya, Abdul Jabbar keh kar bulaya gaya toh kabhi Ilyas keh kar bulaya gaya aaj unhe zamna NOOH alehissalam se yaad karta hai.

Hazrat Nooh Ali Salam Ki Kashti Ka Waqia


Aap alehissalam hazrat idrees alehissalam ke par pote aur hazrat Aadam alehissalam ki 10vi pusht se hain...aap jab duniya mein tashreef laaye uss waqt wahan ke log nafsiyati khwaishat (Lust) par fakhr karte thhe, buton ki pooja, shaitan ki ibadat ye sab karte thhe.

Aapne bachpan se hi logon ko samjhana shuru kar diya unhe bataya ke ye jo sab woh kar rahe hain woh galat hai gunaah hai, ALLAH ke siwa koi ibadat ke laayaq nahi lekin unki qaum unki baat ko nahi maanti aur unn par zulm karti jab jab woh samjhane aate unn par itne paththar maarti ke woh poore paththaron se dhak jaate! ALLAH hu Akbar»

Taarikh mein likha gaya hai ke taqreeban 950 saal tak aap deen ki dawat dete rahe aur har baar aapko yunhi paththaron se mara gaya! ALLAH hu akbar.

Aapki daawat par sirf kuch hi gareeb log aur miskin log aap par imaan laaye baaqi poori qaum Gumrah ki Gumrah rahi unhone aakhir tak Islam qubool nahi kiya aur badd kariya karti rahi phir ALLAH ta'ala ka paigam Nooh alaihissalam ko aaya ke aye NOOH ab teri qaum hidayat nahi paaegi.

NOOH alehissalam ro ro kar ALLAH ta'ala se dua'aen karne lage ke aye mere RAB maine inhe bohat samjhaya lekin ye baaz na aaye ye Gunah ko gunah nahi samjhte ye be hayayi ko acchha samjhte hain, zulm ko accha samjhte hain bas abb tu inhe nisht o nabood karde.

ALLAH ta'ala ka paigam aaya aye NOOH tu ek kashti bana beshak teri ye qaum bohat jald halaak hone wali hai uss kashti mein tu imaan walon ko le kar jana baaqi sare kufr karne wale halaak honge.

Jaisa ke Nooh alehissalam pahar par rehte thhe jahan na koi dariya thha na paani na lakri na loha jisse kashti (Ship) banayi jaae aapne darakht ugaane shuru kiye aur phir jab darakht bare hue toh unki lakdiyan kaat kar kashti banani shuru ki aap lakri ke takhte banate aur lohe se keel bana kar jor jor kar kashti banayi.

History mein hai ke ye kashti taqreeban 100 saal mein bani.

Aapki qaum roz aapke pass aati aur aapka mazaq banati aur zor zor se has has kar kehti ye kya mazaq hain yanha na samandar hai na dariya ye kashti chalaaoge kahan aur aise bol kar hasti jaati aap aasman ki taraf dekhte aur sabr karte aur apne RAB ke diye gae hukm ki pairwee karte gae aur kashti tayyar ki ye kashti koi ma'amooli kashti nahi thhi ise jaise neeche se cover kiya gaya thha waise hi upar se bhi kiya gaya taaki baarish ka paani andar na aaye!

Iss kashti ko 3 floor ka banaya gaya thha jisme sabse neeche wala hissa janwaron ke liye beech wala hissa insano ke liye, upar wala hissa parindo ke liye thha...teeno mein darwaze bhi lagaye gae.

ALLAH ta'ala ne hukm diya ke aye NOOH kashti mein har makhlooq ke joron ko rakhna insan janwar parinde sabhi ke taaqi aane wali Naslein chalein.

Aapne apni qaum ko aakhri baar Aawaz di ke aah jaao iss kashti mein ye kashti najaat ki kashti hai isme aaoge toh amaan paaoge warna halaak ho jaaoge, aapki qaum zor zor se hasne lagi aur sirf kuch hi log kashti mein sawaar hue taqreeban 80 log hi thhe jinme aapke 3 bete Haam, shaam aur yaaf aur unki biwiyan bhi thhin...jaise hi tamam janwar parindey, insan kashti mein aagye tanoor se zameen se paani ubalne laga.

Ye bhi padhen: Jannat Mein Jaane Ke Raaste.

Log door door se ye dekhne ke liye aane lage aur hasne lage unhe laga ke koi chhota mota toofan hai phir aasman se taiz baarish shuru hui aur dekhte hi dekhte har jagah paani hi paani ho gaya aur sabke ghar doobne lage, iss Toofan mein Nooh alehissalam ka ek beta kinaan bhi thha aapne ALLAH se uski shifarish ki lekin ALLAH ne saaf mana kiya ke tum nahi jaante jo mai jaanta hoon toh woh baat mat karo jiska tumhe i ilm nahi.

Iss pata chala ke aapki pehchan sirf aapke Aa'amal hain ALLAH har bande ko uske aamaal ke hisaab se nawazta hai na ke uske ma baap ke.

Ye toofan itne waqt tak chala ke kashti mein shamil logon ke alawa sab ke sab nisht o nabood ho gae.

Ye kashti 5 maheene tak samandar mein tairti rahi aur aakhir kaar 5 maheene ke ba'ad joodi pahar ki choti par aa kar ruki, aap alehissalam ne ek kabootar ko bheja dekhne ke liye ke dekho sab sookh gaya hai ya abhi bhi paani hai? Kabootar wahan gaya aur ek zaitoon ki daali le kar aaya aap alehissalam 5 maheene tak apni qaum ke sath joodi pahar par rahe aur ALLAH ta'ala ka shukr adaa kiya aur phir 5 maheene ke ba'ad dobara apni qaum ko aabad kiya.

Jiss din ye kashti joodi pahar par Tehri woh din juma ka thha aur taarikh 10 muharam ul haraam ki thhi.

Iss waqye se beshumar cheezein seekhne ko mili ke kaise aakhir mein jeet hamesha sach hi ki hoti hai bhale waqt lagta hai lekin har takleef har dard ka har sabr ka badla ALLAH jaane nahi deta uska ajr deta hi deta hai bhale dair se deta hai lekin deta hai.

Beshak jinhe ALLAH par yaqeen ho woh har mushkil se jeet jaate hain sab khel yaqeen aur Tawakkal ka hai.

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url