Hazrat Ibrahim Ki Qurbani Ka Waqia

Hazrat Ibrahim Ki Qurbani Ka Waqia



Riwayat hai k Farishton ne ALLAH ta'ala se farmaya k tune farmaya hai ki 
واتخذ الله ابراهيم خليل Ibrahim tera khaleel hai yani sirf tujhse Mohabbat karne wala tera dost lekin Ibrahim ke dil mein tere ilawa apni aulaad ki Mohabbat bhi shamil hai toh phr woh tera khaleel kaise huaa?? ALLAH ne is baat ka jawab Farishton ko kuch yu diya Ibrahim alehissalam ne khwaab dekha k ALLAH farma raha hai ki Aye Ibrahim ALLAH ki Raah mein Qurbani kar.

Aapne subha hote hi yaani 8 Dhul Hajj ko 100 oont ki Qurbani ki. Dobara jab woh raat mein soye toh phr hukm hua k aye Ibrahim ALLAH ki raah mein Qurbani kar... Aapne subha hote hi yaani 9 Dhul Hajj ko 200 oont ki Qurbani ki... phr jab raat mein soye toh phr khwaab aaya ke aye Ibrahim ALLAH ki raah mein Qurbani kar.

Ab Aapne ALLAH se farmaya aye mere RAB tu mujhse kis chiz ki Qurbani chahta hai tohh farmya gaya jo tujhe sabse zyada azeez ho jisse tujhe sbse Zyda Mohabbat ho tu woh QURBAAN kar aap samjh gae ki aapse aapke bete isma'aeel alehissalam ki Qurbani ka suwaal kiya ja raha hai.

Aapne bina sawal o shikwa kiye subha uthte hi apni zoja (wife) Hazrat Haajra  (رضی اللہ عنہا) se farmaya k apne bete ko tayyar kardo aaj uski bohat bade Darbar mein ek Baadshah k haan da'awat hai. Maa ne apne bete ko saja kar khushboo wagaira laga kar rawana kiya Ghr se nikalte WAQT aapne ek churi aur rassi apne saath leli aur meena ki taraf rawana hue.

Jab shaitaan e la'aeen ne dekha ke Ibrahim apne RAB ke hukm ki pairweeh kar raha hai toh use bardasht na huaa tohh usne apna kaam shuru kiya behkaane ka. Usne boodhe ki shakl ikhtiyar ki aur Bibi Haajra ke paas pohncha aur kaha k Aye Haajra!!! kya tum jaanti ho tumhare SHAUHAR tumhare bacche ko lekr kahan gae hain??

Aapne farmaya ji haan woh mere bacche ko le kar ek Baadshah k haan gae hain aaj mere bete ki da'awat hai wahan, toh shaitaan ne aapse kaha ki nahi woh tujhse jhoot bol kar gaya hai woh toh tere bete ko zabah (Gardan katwaane) ke liye lekr gaya hai.

Tohh aapne farmaya koi baap aisa karega kya apne hi bacche ko zabah?? Toh shaitaan ne kaha haan Kyunki use ALLAH ne hukm diya hai wallahi ye sunte hi bibi Haajra farmane lagi agar ye mere RAB ka hukm hai toh mai ek isma'aeel nahi Hazaron isma'aeel apne RAB ke liye QURBAAN kar sakti hun.

ALLAH hu akabr!!! Subhan ALLAH Marhaba marhaba ye thhe hamari paak biwiyon ke jazbe aisi hi kok se Nabi alehissalam aate hain.

Jab shaitaan e la'aeen ka bibi Haajra par koi asar na huaa toh woh pohncha Hazrat isma'aeel alehissalam ke paas jinki umr Mubarak abhi sirf 7 saal ki hai gaur se padhna aage...shaitaan ne aapse farmaya ki aapko pata hai aapke waalid apko lekr kidhr jaa rahe hain?? Aapne farmaya Bilkul mere walid mujhe ek Baadshah k haan da'awat par le jaa rhe hain.

Toh shaitaan kehne laga nahi tumhare abbu tumse jhoot keh rahe hain ye toh tumhe zabah karne ko le ja rhe hain... aapne farmaya koi baap aisa kyun karega bhala apne hi bete ke saath?? Tohh shaitaan ne kaha kyunki tumhare waalid ko ALLAH ne hukm diya hai tumahari Qurbani ka ye sunte hi 7 saal ke bacche ne kya jawab diya Marhaba..unhone farmaya agar ye mere RAB ka hukm hai tohh mai Khushi khushi QURBAAN ho jaaunga!!!

Kisi ne kya khoob kaha hai!!! Sa'adat mand beta jhuk gaya Farman e Baari par!!! Zameen o Aasman hairan hain iss Ita'at Guzaari par."

Jab shaitaan yanha se bhi haar gaya toh aakhir mein woh pohncha Ibrahim alehissalam ko behkaane usne aapse kaha ke aye Ibrahim sirf ek khwab ki buniyad par tum apne nannhe se bacche ko Qurbaan kar doge? Ye khwab jhoot bhi toh ho sakta hai?? Aapne jawab diya Nabiyon ko jhoote khwab nahi aate aur tu mere raaste se hatt jaa tu mujhe nhi behka sakta.

Farman e Mustafa (ﷺ) hai: Jab Ibrahim alehissalam Waadi e Meena par pohnche toh shaitaan e mardood jamra e Uqba k paas apke samne aagaya aur apko Qurbani karne se rokna chahaa toh apne usko 7 kankari maari toh woh zameen mein dhans gaya.

Phir dobara woh jamra e saani par pohcnha phr aapne use 7 kankari maari jisse woh dobara zameen mein dhans gaya...Teesri baari woh jamra e kubra par pohncha toh aapne phr 7 kankari maari jisse woh zameen mein dhans gaya. (Tibrani, Bahar e shari'at)

Aye imaan Walon: Ibrahim alehissalam ka shaitaan ko yu kankari maarna ALLAH ko iss Qadr pasand aaya k ALLAH ne Qayamat tak ke liye haajiyon ko hukm de diya k bhale hi wahan shaitaan na ho lekin teeno jamraat ko kankari maarni hai ke ye sunnat e Ibrahim alehissalam hai!!! Aur ise qayamat tak zinda rakhna hai.

Subhan ALLAH... ALLAH kareem hum sabko shaitan ko kankari maarna Naseeb farmae Ameen


Ab aap apne bete se mukhatab ho kar kehte hain k aye mere bete mujhe ALLAH ka hukm hua hai khwaab mein k mai uski raah mein apni sabse qeemti cheez qurban karun mere bete mere liye aap se zyada kuch qeemti aur azeez nahi hai isliye mai aapko ALLAH ta'ala ki raah mein apko QURBAAN kar raha hoon!!!

Bete ne kaha abbu jaan mai tayyar hun QURBAAN hone ke liye bass aap itna karna ke jab aap mujhe Zabah karo toh chhuri ki dhaar taiz rakhna,mujhe rassi se baand dena aur Qurbani karte WAQT mera chehra oolta rakhan aur aap apni Aankhon par patti baandh lena kyunki kahin aisa na ho aapke seene mein jo baap ka dil hai woh dhadak jaae aur aap ALLAH ke hukm ko poora na kar paao!!!

Aur ye karna abbu jaan mujhe zabah karne ke baad meri ammi jaan ko iski khabar na dena kyunki woh ek MAA hai aur koi bhi MAA ye bardasht nahii kar paaegi mai unhe takleef nahi dena chahta.

Ibrahim alehissalam ne apne bete ki bataai hui baaton ke mutabiq aapko zabah karna shuru kiya jaise hi aapne chhuri chalayi churi na chali jiski wajh se aap aur aapke bete dono rone lage k kahin ALLAH hum se Naraz toh nhi ho gaya koi baat ALLAH ko na pasand toh nahi guzri.

Aap ne dobara koshish ki tabhi bhi churi na chali jiski wajah se aapko gussa aaya aur aapne churi ek chattan par gusse se phenki jiski wajh se chattan do tukde ho gayi apne churi se kaha tune paththr ke do tukde kar diye toh mere bete ki nazuk si gardan par kyun nahi chalti?

ALLAH ke hukm se churi bol uthi aur kehne lagi ke aye Ibrahim ALLAH ke ek hukm se tere liye aag gulzaar kar di gai mai tere bete par na chalun iske liye ALLAH ne Mujhe 70 baar hukm diya hai ke mai tere bete par na chalun. Subhan ALLAHRA

Ye manzar dekh kar Farishte bol uthe Beshak Ibrahim ALLAH ke khaleel Hain sacche dost hain....iske ba'ad ALLAH ne jibra'aeel alehissalam ko ek jannati dumba (Sheep) lekar bheja aur kaha isma'aeel ki jagah ise rakhna!!!

Jab teesri baari aapne chhuri chalayi toh churi chal gai aur aankhon se patti hatai tohh dekha doomba zabah huaa hai aur isma'aeel alehissalam khade hue hain ye dekh kar jibrail alehissalam ne kaha "ALLAH hu akbar" Isma'aeel alehissalam ne kaha "La ilaha illallahu wallah hu akbar kaha aur Ibrahim alehissalam ne kaha "Wa lillahi al hamd". (Saawi, Mairaj un nubuwah)

Sada aayi Aye mere khaleel tera imtehaan ho gaya, tu imtehaan mein kamyaab ho gaya aur iski jagha jaanwar Zabah huaa aur ye Qurbani Qayamat tak ke liye teri sunnat aur yaad gaar bana di gai. Aapki is Qurbani ko ALLAH Qur'an e paak mein yu bayan karta hai:-

Tarjuma: Toh jab unn dono ne hamare hukum par gardan rakhi aur baap ne bete ko maathe ke bal (Support) par litaya uss WAQT ka haal na pooch! Aur humne use nida farmai k aye Ibrahim! Beshak tune khwaab sach kar dikhaya,hum aisa hi sila dete hain naikon ko beshak ye Roshan jaanch thhi aur humne ek bada zabeeha uske fidyah mein de kar use bacha liya, Aur humne peechlon mein uski ta'areef baaqi rakhi salam ho Ibrahim par." (Para:23 Ruku:6)


Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url