Arafah Ke Din Ki Fazilat
Kya aap jaante hain????
Arafah din ka naam hai!
Arafaat jagah ka naam hai!
9 dhul hijjah ko Youm e Arafaat kaha jata hai! Ye woh din hai jisme hujjaaj (Yaani hajj karne wale haaji) Arafaat mein jama hote hain.
Arafaat ek jagah ka naam hai.
Hamare Nabi (ﷺ) ne farmaya ke "Hajj Arafah hai" (Jama e Tirmidhi: 889)
Jiska matlab hai ke arafaat mein haazir hona hajj ki takmeel (Yaani hajj ko poora kar ne) ke liye Bohat zaruri hai.
Youm e Arafah woh din bhi hai jab deen e islam ki takmeel hui.(Yaani Islam mazhab mukammal hua)
ALLAH kareem Qur'an E kareem mein farmata hai ke "Aaj maine tumhare liye tumhare Deen ko mukammal kar diya, tum par apni naimat poori kar di, tumhare liye deen e islam pasand kiya. (Sureh maidah: 3).
Kyun Arafah Ka Din Itna Ehem Hai?
Arafah saal ka sabse bada aur khaas din hai iss din karoron se bhi zyada logon ke gunaahon ko bakhsh diya jata hai.
Huzoor (ﷺ) ne farmaya hai ke arafah ke ilawa aisa koi din nahi jisme ALLAH la ta'adaad logon ko Jahannam se aazadi deta ho. (Muslim).
Shaitan ke liye sabse bura din hai arafah ka!
Shaitan arafah ke din ko bohat na pasand karta hai Kyunki iss din ALLAH ta'ala be shumar rehmatein aur maghfirat apne bando ke liye bhejta hai apne bando ki har har khata ko maaf karta hai jiski wajah se shaitan bohat zyada gussa hota hai aur haal be haal rehta hai.
Arafah Ke Din Kya Kya Karna Chahiye?
Arafah ke din roza rakhein.
Tasbeehat parhein tisra kalma chotha kalma zyada se zyada parhein.
Beshumar dua'aen karein maghfirat ki dua'a karein apne liye apne waalidain ke liye.
Iss din ko naik kaamo mein basar kijiye. Iss tasbeeh ko kasrat se parhiye Allahu Akbar-Allahu Akbar, La-ilaha illallahu, Allahu Akbar-Allahu Akbar, Walillahil hamd.
Rasool ALLAH (ﷺ) farmaya sabse afzal dua'a arfa ke din ki dua'a hai aur jo kuch maine aur mujhse pehle ke Nabi alehissalam ne kaha unme sabse afzal dua'a ye hai.
لا إله إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لا شَريكَ لَهُ. له الملك ولهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وهو على كل شيء قدير
'La Ilaha Illallah,Wahdahu La Sharika Lahu, Lahul-Mulku Wa Lahul-Hamdu, Yuhyi Wa Yumitu, Wa Huwa Ala Kulli Shai'in Qadir'
"Allah ke siva kol ibadat ke layak nahi, wo akela hai uska koi shareek nahi, usi ka mulk hai aur usi ki tareef hai, tuhi jilae aur tuhi maut de aur wo har cheez par kudrat rakhnewala hai."
Ye bhi padhen:- Hazrat Ibrahim Ki Qurbani Ka Waqia
Haaji Kya Karte Hain Arafah Ke Din?
Hajj adaa karne ke ba'ad 9 dhul hijjah ko tamam haaji arfaat ke maidan mein jama hote hain arfaat ke maidan mein jama hona yahi matlb hua ke hajj ho gaya...iss maidan mein haaji apni zohar ki aur asr ki Namaz adaa karte hain aur sooraj doobne tak wahin rehte hain khare khare ALLAH ta'ala se apni maghfirat ki aur bohat si har har dua'a ko maangte hain...phir maghrib ke liye muzdalifa ko rawana hote hain wahan maghrib aur isha adaa karke haaji phir aaram karte hain.
Arafah ke din ALLAH ta'ala aasman par farishton se farmata hai ke aye farishton tum gawah rehna ye jitne bhi arafah ke maidaan mein jama hain maine inn sabko bakhsh diya mujhe inn par bara pyar aata hai ye yanha mere liye jama hue hain.