Saal Ke Sabse Afzal 10 Din
Rasulullah (ﷺ) ne farmaya:
Allah ke Nazdeek Zil hijjah ke shuru ke 10 din m kiye jane wale Aamal aur dino ke nazdeek zyada Mehboob (pasandeeda) hain. Tirmizi 757.
In dino m kiye jane wale Aamal:
- Roza rakhna
- Hajj aur Umrah karna
- Qurbani karna
- Takbeerat padhna
- Zikr karna
- Apne Gunahon ki Maafi mangna
Roza:
Zil hijjah ki 1 tareekh se 9 tak Roza rakhna Sunnat h. Aur khaas tor pr 9 tareekh ka roza bhi rakhna chahiye jo youm e Arafat ka roza bhi kehlata h.
Hadees m aata h ki Arafat ke din ka roza Insaan ke ek saal ke pichle aur agle gunah maaf kar deta h (Sahih Muslim 1162).
Hajj Aur Umrah aur Qurbani:
Hadeeson m Aata h ki Haaj, Umrah aur Qurbani is mahine ki sabse behtreen Amaal hain (to jab jis pr ye Amal wajib ho jaye karna chahiye) Kis pr farz h ya nahi iske liye kisi Aalim se ponch len
Takbeerat padhna:
Allahu-Akbar, Allahu-Akbar, Allahu-Akbar laa ilaaha illallah, Allahu-Akbar, Allahu-Akbar, wa Lillaahil-hamd
9 tareekh ki fajr se 13 tareekh ki Asr tak har Farz Namaz kebaad Mard Unchi Awaaz se aur Aurten Ahista Awaaz se padhe ye sunnat hai.
Zikr karna:
SUBHANALLAH ALHAMDULILLAH ALLAHU AKBAR LA ILAHA ILLALLAH
Ye Tasbeehat padhna sunnat h shuru ke 10 dino m....Zikr ke liye to aur bhi tasbeeh padh sakte hain koi mana nahi h...Astagfaar, Durood Shareef etc
Aur Apne Gunahon se Toba karo In dino mein.
📌- Sawab ki niyat se is post ko apne doston or rishtedaron ko send kijiye.
Jazakallah Khair