Ghusal Karne Ka Tarika (Hanafi) || Ghusal Ke Faraiz

Ghusal Karne Ka Tarika Hanafi - Ghusal Ke Faraiz, Ghusal Ka Tareeqa (Hanfi).
Islam mein pakizgee ko aik khaas ahmiyat haasil hai kyunke Allah ' ' pak' ' hai aur pak cheez ko pasand farmata hai yahi wajah hai ke is ne quran kareem mein bandah momin ko har qisam ki najasat se pak o saaf rehne ka hukum di : Allah kareem irshad fermata hai: aur agar tumhe nahanay ki haajat ho to khoob suthray ho lo. ( Parah 6 surah Maida , aayat number 6 )


Ghusal Karne Ka Tarika

Ghusal Farz Hone Ke 5 Asbab:

  • Mani ka apni jagah se shehwat ke sath juda hokar azose nikalna.
  • Ihtehlam yani Sote hue neend ki halat Mein mani nikal jana.
  • Sharamgah mein Hasf (Mard ki sharamgah ka agay ka hissa) daakhil hojana shehwat ho ya nah ho, inzaal ho ya na ho, dono dono per ghusal farz hai.
  • Haiz (Periods) se farigh hona.
  • Nfas (yani bchchah jan'nay perjo khoon aata hai) is se farigh hona. (bahhar Shariat)

Afsos:

Daur haazir mein jahan deegar ahem ebadaat mein kotahi nazar aati hai wahein aik bohat barri tadaad hai jinhein Shariat ke betaye hue tareeqay ke mutabiq ghusal karna bhi nahi aata, saari zindagi gzrjati hai, hajj o omra ki sadten bhi paate hain par afsos ke jahalat ke sabab durust Taharat nahi kar paate. ayen is jahalat ko daur karte hue Shariat Mutahera ke mutabiq ghusal ka tareeqa sekhen .

Ghusal Ka Tareeqa (Hanfi):

Bager zuban helaye dil mein is terhan niyat kijiyej ke mein paki haasil karne ke liye ghusal krtahon. Pehlay dono haath panjon tak teen teen baar dhoen, fir istinjah ki jagah dhoen khuwa najasat ho ya na ho, fir jism per agar najasat hoto is ko ddor kijiye fir namaz ki terha wazu kijiye magar paon na dhoen, haan choki wagerah per ghusal kar rahay hain toh paon bhi dho lijiye, fir badan per til ki terhan pani chadha lijiye, khso san sardiyun mein (is douran sabun bhi laga saktay hain).

Fir theen baar syedhe kandhay par pani bahayen, fir teen bar ulte kandhayper, fir sar per or tamam badan per, phir ghusal ki jagah se allag hojayen, agar wazu karne Mein mein paon nahi dhuain thay toh ab dho lijiye. nahanay mein qibla rukh nah hon, tamam badan hath phair kar mall kar nahayen.

Aisi jagah nahana chahiye jahan kisi ki nazar nah parre. douran ghusal kisi qisam ki guftagu na kijiyej, koi dua bhi nah padhen, nahanay ke tauliya waghera se badan ponchaney mein harj nahi. neha ne ke baad foran kapde pehan lijiye. Agar makrroh waqt nah toh do rak-at Nafil adakrna mustahib hai.

Ghusal Ke Teen Faraiz:

  1. Kulli Karna
  2. Naak Mein paani charhana
  3. Tamam zahir badan par pani bahana.

1-Kulli Karna

Mun mein thodasa paani lekr Karpach karkay daal dainay kanam kalie nahi balkay mun ke har purze, gooshay, hont se halaq ki jadtak har jagaah pani bah jaye. isi terhan dadhi ke peechay galoon ki teh mein, danoton ki khirkion aur jaroon or zuban ki har karot per balke halaq ke kinare tak pani bahe.

Roza nah ho toh gararah bhi kar lijiye ke sunnat hai. danoton mein chhalih ke danay ya booti ke raishay waghera hon twan ko chorana zaruri hai. haan agar chhuranay mein zarrar (yani nuqsaan) ka andesha ho toh maaf hai, ghusal se qabal danoton mein raishay waghera mehsoos nah hue or agar ho gaye namaz bhi parhli baad ko maloom honay per chora kar pani bahana farz hai

Pehlay jo namaz padhi thi woh hogayi. jo hilta daant masalay se jamaya gaya ya tar se bandha gaya tar ya masala ke neechay pani nah pohxhaya toh maaf hai jis terhan ki aik kulli ghusal ke liye farz hai isi terhan ki teen kulli wudu ke liye snnt hain .

2-Naak Mein Paani Charhana

Jaldi jaldi naak ki noke parpai lagalene se kaam nahi chalayga jahan tak naram jagah hai yani sakht haddi ke shuru tak paani dalna lazim hai. aur yun hosakay gha kay pani ko sonkh kar oper khixhiye. yeh khayaal rakhiyae ke baal barabar jagah dalne se nah reh jaye warna ghusal nah hoga. naak ke andar ahar rent sookh gayi hai to is ka chhurana farz hai, neez naak ke balon ka dhona farz hai.

3-Tamam Zahir Badan Par Pani Bahana.

Sirkay balon se lekar paon ke talwon tak jism ke har purzey aur har rongte par pani bah jana zaruri hai, jism ki baaz jaghen aisi hain ke agar ahthyat nah ki to woh sookhi reh jayengi or ghusal nah hoga.

Bahtay Pani Mein Ghusal Ka Tariqa:

Agar behte pani masal dar, ya neher Mein nahaya toh thodi der isme rukne se teen baar dhone, tarteeb, or wazu ye sab sunnaten aadha hojayengi mein is ki bhi zaroorat nahi ke aaza ko teen baar harkat day. Agar taalab waghera thehray pani mein mahaua toh aaza ko teen bar harkat dainay ya jagah badalny se taslees yani teen baar dhoney ki sunnat ada hojaegi.

Barsaat mein (null ya fawaray ke neechay ) khara hona bahtay pani mein kharray honay ke hukm mein hai. bahtay pani mein wudu kya to wohi thori der is mein wazu kardena or thehray pani mein harkat dena or teen baar dhone ke qaim maqam hai. wudu or ghusal ki un tamam sooraton mein kulli karna or naak mein pani chorna hoga.

Ghusal Ke Mutaliq Chand Zaroori Baatein

Logon ke samnay satar khol kar nahana haram hai. barish waghera mein bhi nahayen toh pajama ya salwar ke upar mazid rangeen mouti chadar lapait lijiye taakay pajama pani se chipak bhi jaye to ranu waghera ki rangat zahir na ho .

Agar aap ke hamaam mein fawara (shower) hai toh usko achi terhan dekh lijiye ke is ki taraf mun karkay nangay nahanay mein mun qiblay shareef ki taraf to nahi ho rahi! Istinja khana mein bhi is ki ahthyat frmayie .

Allah hamein tamam ahtiyaton ko paish e nazar rakhtay hue Shariat ke mutabiq paki haasil karne ki tofeq aata farmaye. Ameeen.

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url