Badnazri Ke Nuqsanat or Gunah

Kaafi wakt se is topic par post chahta tha me socha ab kr du post kyu ke aaj kal hamare ma'ashre me jo aam hai wo hai behayai badnazri jo ki hum un chizo ko halka gunah smjhte hai, Aap Meharbani Kar Ke Pura Padhe Bhale Aap Like Na Kare Lekin Please Pura Padhe Allah Ke Waste.

Badnazri Ke Nuqsanat or Gunah



Badnazri mtlb kisi gairmehram ko dekhna jyadatar mobile me log jyada ye chiz krte hai Q ke bahar dekhe to darr rehta hai ke kahin kisi ko pata na chal jaaye izzat chli jayegi,lekin akele me jo phone me dekhte hai Allah unhe dekh raha hota hai, farishte likh rahe hote hai, waha logo ki nazro me zalil hone se dar rhe hai hum allah rasool ki nazro me zaleel hone se q nahi dar rhe?

Allah Quran Me Farmata Hai "Iman Walo Se Keh Dijiye Apni Nigahe Nichi Rakhe Aur Apni Sharmgaho Ki Hifazat Kare Usme Unke Liye Pakizgi Hai Beshak Allah Ko Khabar Hai Uski Jo Kuch Wo Karte Hai"(surah noor 30)

Allah ne farmaya hai ke apni nigaho ki hifazat kro lekin hum ye hukm ko bhul jate hai,namaz roze zakat sadka sb karte hai sirf in chizo ko hi farz samjhte hai jo hamare 5 arkaan me hai, namaz,roza,haj, zakat kya sirf yehi farz hai?

Hame apni nigaho ki hifazat krna bhi farz hai, Agar islam ne mardo ko khule alfaz me nichi nigah ka hukm diya hai to aurto koo bhi farahmosh nahi kiya, kyu k aurto aur mardo ka khamir ek hi hai unke baare me irshad hai.

Quran: "Iman waliyo se keh dijiye ke apni nigahe nichi rakhe aur apni sharmgaho ki hifazat kare" (surah noor 31) in dono ayato ka labo lehza is hakikat ko bata rha hai ke aankho ki bebaki hi gunah kaa aur shehwat(hawas) ka irtikab karwati hai, aisi halat me insan ki akal par parda pad jata hai.

Nabi ne farmaya nazar iblis ke tiro me se ek zahar aalood tir hai (al jawabul kaafi 204).

Nabi ne farmaya Aankho ka zina dekhna hai(muslim).

Zulekha agar hazrat yusuf(a.s) ko na dekhti to jazbat ke hatho bekabu ho kar gunah ki dawat na deti thode lamho ki betaabi ne uske is kaam ka tazkira Quraan me karva diya, Ibrat hasil krni chaie ke bad nazri ki rusvaaiya kitni badi aur buri hai.

Kaabil ne Haabil ki biwi ke husno jamal par nazar dali to dilo dimag par aisa bhoot sawar hua ke apne bhai ko katl kar diya duniya me sb se pehli na farmani ka murtakib hua aur quran me uske bure kaam ka tazkira hua Badnazri zina ki pehli sidi hai.

Nabi ne farmaya aankho ka zina dekhna hai,kaano ka zina sunna hai, zaban ka zina bolna hai, hath ka zina pakadna hai, paav ka zina chalna hai, dil aarzoo aur tamanna karta hai, sharmgah uski tasdik ya takzib karti hai(mishkat).

Imam gazali r.a. farmate hai nazar khatak paida Karti hai, khatak sochko vujood bakhasti hai, soch sehwat(hawas) ko ubharti hai aur sehwat irada ko janam dati hai.

Isse maloom hua ke zina ka irada tab hota hai jab insan gair mehram ko dekhta hai agar dekhega hi nahi to irada hi nahi hoga, maloom hua ke badnazri zina ki pehli sidi hai, momin ko chaie ke pehli sidi chadne se hi parhez kare.

Badnazri ki ek kisam wo nangi tasvire dekhna hai jo akhbaro aur kitabo ki zinat banti hai, filmo aur dramo me kaam krne wali aurto ki tasavir dekhna, Rasta chalte sadak ke kinaro par lage board par bani hui tasavir dekhna, bf gf ki tasavir chupa kar tanhai me lalchai nazro se dekhna, ya internet par peshawar (Badkaar) ladkiyo ki videos aur tasavir dekhna sab ke sab haram hai tasavir dekhna zinda insan ko dekhne se zyada khatarnakh hai, raah chalte gair mehram ko itni bariki se nahi dekha ja sakta jaisa tasavir me dekha ja sakta hai, isse zyada mohtat rehne ki jaroorat hai.

Kisi badhaal shayar ne tasvir ki taarif karte hue kaha hai :- "teri tasvir me ek baat tujhse bhi nirali hai jitna chahe bosa le lo na zhidki hai na gali hai"

Badnazri se kabhi sairi nahi hoti(Ji nahi bharta) badnazri aisi pyas lagti hai jo kabhi nahi bujhti istiska ka mariz itna pani piye ke pet fatne ko aaye to bhi pyaas khatam nahi hoti, Allah ne ek se badh kar ek ko khubsurat banaya hai natija yahi hota hai ek ko dekha dusre ko dekhne ki hawas hai is dariye me sari umar behte rahege to bhi kinare tak nahi pahochege kyu ki is dariye ka koi kinara nahi hai.

Badnazri se amal ki taufik cheen jati hai- ek buzurg farmate hai badnazri nihayat hi mohlik marz hai ek tajurba to mere hi bahot ahebab par hai zikr aur ibadat me lazzat aur jaush ki kaifiyat hoti hai magar badnazri ki vajah se ibadat ki lazat fana ho jati hai.

Uske baad ibadat ka rafta rafta chutne ka zariya bhi ban jata hai, Misaal ke taur par agar tandurast naujawan bimar pad jaye aur bimari jane ka naam na le to dublapan aur kamjori ki vajah se chalna firna uske liye muskil ho jata hai.

Koi kaam karne ko dil nahi chahta usi tarah jisko badnazri ki bimari lag jaye wo baatini (andar se) kamzor ho jata hai nek amal karna uske liye muskil ho jata hai dusre lafzo me usse amal ki taufik cheen li jati hai.

"Badnazri se hafiza (Yaddasht) kamjor hota hai"- imam shafi(r.a.) ne apne ustad imam waki'a(ra) se apne hafize ki shikayat ki unhone wasiyyat ki aye talib e ilm gunaho se bach jaao kyu ke ilm allah ka noor hai ye noor gunahgaar ko ata nahi kiya jata, college, University aur madarish me padhne walo ke liye isme ibrat ka dars mojud hai

Shaikh wasti(ra) farmate h jab allah kisi ko zillat dena chahta hai use khubsurat chehre dekhne ki aadat me mubtala kar deta hai.

Gairmehram ki taraf dekhne wala jald ya der se ishqe majazime mubtala ho jata hai wo makhlook ko apna mehboob bana leta hai, Ye amal shirk e khafi hai, shirk esa gunah hai jo kiye hue amal ko Zaae(waste) kar deta hai isko kehte hai neki barbaad gunah lazim

Hadis me hai "Allah Ta'ala lanat barsae dekhne wale par aur dekhne ka mauka dene wali par(mishkat).

Gunah ki ibtida (shuruaat) nazar se hoti hai jaisa ke aag aur sholo ki ibtida ek chingari se hoti hai is liye sharmgah ki hifazat ke liye nazar ki hifazat jroori hai (Al jawabul kafi).

"Allah Ta'ala lanat karte hai badnazri krne wale mard aur aurat par(mishkat).

Hazrat Daud(as) ne apne bete ko nasihat ki ke sher aur azde ke piche chale jana lekin gair mehram ke piche hargiz na jaana kyu ke sher aur azda palat aya to maut ke muh me chle jaoge lekin agar aurat palat aai to jahannam ke muh me chle jaoge.

Hazrat yahya(as) ko pucha ke zina ki shuruaat kaha se hoti hai farmaya Aankho se.

"Allah janata hai aankho ki khayanat ko aur jo dilo me chupaye hai" ek buzurg ne farmaya hai ke dil ka gunah nazarbaazi ke vajah se vujud me aata hai, gairmehram ko lalchaai nazro se dekhte hai to unke naksninki chaap lag jati hai fir wo apni khayalo ke zariye unse shehwat puri krne ke maze lete hai ye dil ka gunah aankho ke gunah se sakht tar hai.

Badnazri se chehre ko benoor kr diya jata hai hadeese paak me hai Nabi ne farmaya" Ya tum apni nigah nichi rakhoge aur apni sharmgaho ki hiafazat kroge ya fir Allah tumhari surte badal dega"(Ravahu Tabrani).

Shakal badalne ki ibtida yehi hai ke chehra benoor kar diya jayega khubsurti ke bawajood chehra be ronak hoga.

Achanak nazar maaf hai ek martaba hazrat Ali(ra) ne Nabi se sawal pucha to nabi akram ne irshad frmaya"Ay Ali ek martaba nazar pad jane ke baad do baraah na dekho kyu ke tumhare liye sirf pehli nazar maaf hai dusri nahi"(Mishkat 219),

"Isse maloom hua ke achanak nazar maaf hai lekin agar pehli hi nazar iradatan padi ho to haram hai, Aur pehli nazar maaf hone ka matlab ye nahi ke pehli nazar hi itni bharpoor ho ke dobaraa dekhne ki jroort hi na rahe".

Badnazri se bachne par imaan ki mithaas musnad e ahmad me nabi ka irshad hai koi musalman jab pehli martaba kisi aurat ki khubsurti dekhe fir apni nigah past kar le to Allah ta'ala usko ibadat me lazzat ata farmate hai.

Tabrani. me hadees hai " Allah frmata hai jisne meri dar ke vajah se bad nazri chhodi mai use aisa imaan ata karuga jiski halawat wo dilme mehsoos krega, Kitna Nafamand sauda hai ke bad nazriki vakti.

Aur aarzi lazzat ko chhodne par imaan ki daaimi halavat aur shirini naseeb hoti hai, Saabit hua ke Allah Ta'ala aise sakhs ke sine me thandak daal dete hai pas jo sakhs gair mehram par nazar baazi ki lazzat ko tark karega Alah usko ibadat aur iman ki lazzat ata karega.

Isse maloom hua ke allah ko bad nazri se kitni nafrat hai mere azizo agar aap is chiz me mulavvis hai to Tauba ka darwaja abhi band nahi hua agar Isi haal me maut aagai to Kya banega?

Ye jo aankhe hai ye allah ki di hui amanat hai isme khayanat na kare Allah ne jis chiz ko dekhne se haraam kar diya hai use na dekhe kahin aisa na ho ke andhe khade kiye jaaye, Q ke ek hadees me hai ke kuch logo ko allah andha khada karega wo allah se kahege ke ya allah hum to duniya me bina(Andhe nahi) the,

isse ye sabit hua ke kuch logo ko Allah aur Rasulallah ka deedar naseeb nahi hoga to kahin esa na ho ke duniya me hum gafil ho kar bad nazri karte rahe aur bin tauba mar gaye Aur hum is jamane me hai ke hame Rasulallah ki ziyarat nasib nahi hai Aur agar waha bhi didaar naseeb na hua to?,

Tauba Kar le abhi bhi wakt hai Allah to tauba krne wale ko bahot pasand krta hai aur Allah ko wo tauba bahot aziz hai jiske baad firse wo gunah na kiya jaaye.

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url