Hindustan Ka Pahla Musalman or Pahli Masjid

Hindustan Ka Pahla Musalman or Pahli Masjid:

Hindustan Ka Pehla Musalman or Pehli Masjid

Kerala Ke Raja Chermaan Perumal Apni Aankhon Se Shaq'Qool Qamar (Chaand Ke 2 Tukde) Ko Dekhkar Hairan the, Unhen Ye Pata Nahin tha ki Ye Waqiya Makkah me Paida Hone wale Paigambar e islam Hazrat Muhammed Mustafa ka ek Mojeza (Chamatkar) Hai.

Raja ne Apne Darbari Jyotishiyon (Najumiyon) se iske Bare me Maloomat Hasil Karni Chahi Magar Koi bhi Sahih aur Tasalli Bakhs jawab Naa De Saka.

Kaafi Arse ke Baad Arab ke Kuchh Saudagaron Ka ek Kafila Jab Unki Raajdhani Aaya to Raja ne Unse Apna Waqia Bayaan Kiya.

Arab Saudagaron ne Bataya ki wo to Hamare Paigambar (ﷺ) ka Ek Maujiza Tha, iske Baad Raja ne Huzoorke Baare me kuch aur Sawal Kiye aur phir wo Apna Rajpaath Chhodhkar Makkah Chal Padhe aur Paigambar e islam (ﷺ) ki Ziyarat Karke Musalmaan Ho Gaye.

Kuchh Dinon Wahan Rehne ke Baad Jab Raja Wapas Hone Lage to Arab Sagar Ka Safar Karne ke Dauran Bimar Ho Gaye, Unhone Maalaabar ke ilakai Hukmranon ke Naam Kuch Jaruri Hidayat Likhkar Apne Sathiyon ke Supurd Kar Di.

Chunache Hazrat Maalik Bin Dinaar aur Aapke Sathiyon Ne Raja Cherman ki Raajdhani Koted'dallur Pahunchkar wo Khat (Letter) Wahan ke Haakimon ko De Diya Us Khat me Raja ne Pure ilake me Masjiden Banane ka Order Diya tha.

Chunache Sabse Pahli Masjid Kotad'dallur me Bani aur Hazrat Maalik Bin Dinaar Uske pahle Mutavalli Bane. Masjid Area me Unke Bete Hazrat Habib Bin Malik aur Unki Biwi Khumeriya ke Mazaar Aaj bhi Maujud Hai.

Chermaan Juma Masjid, Masjid ka Naam Raja Sahab ke Naam pr Hi Hai.

Hindustan Ka Pehla Musalman or Pehli Masjid
Cheraman Juma Masjid


Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url