Ibn E Sina Ka Experiment
Ek martaba Ibn E Sina ko ek tarkeeb sujhi, Unhone do dumbe(Ghente ke bache) liye aur dono ko alag alag pinjre me rakh diya.
Dono bache bilkul ek jaise thhe.
Hua kuch aisa ke in dono pinjre ke baju me ek aur pinjra rakha gaya jiske andar bhediya tha, us bhediye ke nazdik jo dumba tha sirf wahi use dekh skta tha dusra wala use nahi dekh skta tha.
Ek mahine ke baad jo dumba bhediye ke karib tha wo mar gya, marne ki wajah thi kamjori haalanki us bhediye ne use koi taklif nahi pahochai thi naa hi uske khane pine me koi kami ki gai thi wo bass andr hi andr bhediye se drta rha aur soch soch kr khud ko kamjor kr liya aur khud se hi khud ko khatm kr liya.
Dusra dumba jo tha wo pehle se aur behtar ho gya aur tandurast bhi ho gya, kyu ki uske dimag me koi tension kisi baat ka koi darr vagera nahi tha wo ek dam sukun se kuch bhi tension liye bagair khaa pee rha tha aur apni zindgi jee rha tha.
Is tarkeeb se Ibn e sina ne ye seekha ke Fikr, Soch, Darr kis tarah insan ko khaa jati hai, Wahin bagair tension,fikr ke zindagi kese aasani se guzar jati hai.
Jo ziyada sochte rehte hai fikro me ziyada rehte hai unhe ye kahunga ke jyada mt socho Allah ne tumhe tklifo me rkha h to kuch behtr bhi tumhare liye socha hoga besha ke wo 70 maao se bhi jyada mohabbat krta hai aur har tklif ke baad aasani hi h.
To Allah pr bhrosa rkho beshak wo sabr krne walo ke sath hai.
Allah pr pure pura tawakkul rkhe mayus na ho jaaye, momin kabhi mayus nahi hota wo hamesha Apne Allah pr tawakkul rkhta hai ye na soche ke kabhi theek nahi hoga Andheri kaali raat ke baad suhani
subah bhi aati hai,
Garmi ka mausam guzar jane ke baad shardi ka mausam bhi aata hai, isi tarah dukh dard ke baad sukh ke din bhi aate hai,
Aur Allah Quran me frmata hai ke jo Allah pr bhrosa rkhe to wo uske liye kaafi hai, jab Allah uske liye kaafi hai toh use aur kya chaiye. (Surah Talaaq:3).
To mere azizo Sabr kro Allah se duae kro aur Duae kr ke us pr tawakkul rkho Beshak ke ham jesa guman krte h wo vesa ata krta hai to Allah se acha gumaan rkho aur Apni tklifo me bhi uska shukr kro q ke taklif bhi ek neamt hai ek hadees me aata hai....
Rasulallah Sallallahu Alaihi wasallam ne frmaya jo musalman kisi bhi taklif me giraftaar hota hai to Allah Ta'ala uski wajah se uske gunah is tarah jaad deta hai jaise darakht ke patte jadd jaate hai.
Allah hame tawakkul waali zindgi ata frmaye sabr ke sath mushkilo se lane wala banaye jo mila hai use Allah ki raza me khusi khusi qubul krne wala banaye. Ameen Ya Rabbul Alamin.