Ramzaan Ke Aakhri 10 Dino Me In Kaam Ko Karen

Ibadat Me Izafa:

Aakhri 10 dino me ibadat ko barha kar, Qur'an ki Zyada Tilawat karen aur Zikr o Azkaar w Durood Sharif ki Kasrat Karen.

Laylat-ul-Qadr ki Talaash:

Laylat-ul-Qadr (Quran ki Tanzeem ki Raat) Aakhri 10 Dino me hoti hai. Is Raat ko Khaas Tawajjo den aur ibadat me Masroof Rahen.

Taubah aur Astaghfar:

Gunahon se Tauba Karen aur Astaghfar ki Kasrat karen, Taake Apne Aamaal ko Paak Saaf kar Sakein.

Zakat aur Sadqa:

Zakat aur Sadqa dena aur Ghareebon ki Madad karna Aakhri 10 dino me bhi Bahut Ajar ka Kaam hai.

Roza Ka Ehtram:

Roze ki Pabandi ko mazeed Gehraiyon se Nibhayein aur Sabr aur Shukr ka izhaar karen aur Aise Kaamo se Parhez Karen Jo ki Roze ki Ruhaniyat ko Khatm Karen.

Dua:

ALLAH se Apni Dua'en Maangna aur Aakhri 10 dino me Duaon ka Zyada waqt dena.

Ramzaan Ke Aakhri 10 Dino Me In Kaam Ko Karen

Taraweeh aur Tahajjud:

Raat ko Taraweeh aur Tahajjud Ada karen, Taaki Zyada Sawaab Haasil ho.

Aitkaaf:

Ramzan ke Aakhri 10 Dino me Aitikaaf me Zarur Bethne ki Koshish Karen

In guidelines ko Amal me Laakar, aakhri 10 dino me bhi Ramzan ko pur Sukoon aur ibadat bhara banayein.


Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url