Zakat Apno Ko Dia Karo

Zakat Apno Ko Dia Karo
Zakat Apno Ko Dia Karo


𝗪𝗶𝗳𝗲- Afzal Koi Job Mili Aapko...?


𝗛𝘂𝘀𝗯𝗮𝗻𝗱- Nahi Wajiha... Job Nahi Mili, Mil Jati Toh 𝗥𝗔𝗠𝗭𝗔𝗡 𝗘𝗜𝗗 Me Kapdon Ka Intezam Ho Jata...

Iss Bar Bhi Tum Apni Maa Ke Yaha Se Kapde Le Aana...😞


𝗪𝗶𝗳𝗲- Shadi Ke Baad Se Yeh Hamari 5vi Eid Hai Aur Har Martaba Ramzan Eid Me Kapdein Mere Waliden ke Ghar Se Hi Aate Hai...🥺


𝗛𝘂𝘀𝗯𝗮𝗻𝗱- Toh Kya Hua Is Bar Bhi Le Aana... 🤔


𝗪𝗶𝗳𝗲- Aapko Malum Hai Na Papa Ka Retirment Ho Gaya Aur Ammi ki Bimari... Bohot Hi Mushkil Se Wo Ghar Chala Rahe Hai...😒


𝗛𝘂𝘀𝗯𝗮𝗻𝗱- Tumhara Bhai Toh Bohot Raees Aadmi Hai Usse kaho Na...


𝗪𝗶𝗳𝗲- Mera Bhai Yakinan Paiso Se Raees Hai Lekin Dil Se Bohot Garib...

Mera Bhai Joru ka Ghulam Hai Unn Me Zara Si Gairat Hoti Toh Aaj Mere Ammi-Abba Ko Is Haal Me Chhodh Ke Biwi Ke Saath Alag Na Rehta, Uss Behuda Insaan Ke Aage Haath Failane Se Accha Hai Mein Bhuki Marr Jaun...😠


𝗛𝘂𝘀𝗯𝗮𝗻𝗱- Haan Haq Baat Kahi Jo Insaan Apne Maa Baap ka Na Ho Saka Woh Kya Kisi Ka Hoga...?


𝗪𝗶𝗳𝗲- Ye Koi Zaruri Nahi Ke Eid Manane Ke Liye Naye Kapde Hi Liye Jaye, Purane Kapdon Me Bhi Eid Ho Sakti Hai...


𝗛𝘂𝘀𝗯𝗮𝗻𝗱- Mere Masum Bacchon ke Alhamdulillah Roze Namaz Aur Tilawat Ho Rahi Hai, Woh Kitne Khush Hai ke Eid Pe Unko Naya Joda Kapda Milega...😢

Mera Dil Nahi Manta Unko Purane Kapde Pehnane ka...

Jaane Do Ek Kaam Karta Hu Mai Apna Mobile Bech Deta Hun Aur Unn Paiso Se Bachchon Ko Kapde Bana Lenge Aur Naya kaam Milne Ke Baad Phir Mobile Kharid Lunga...📱🥺


𝗪𝗶𝗳𝗲- Ek Baat Kahu...?

Aap Apne Chote Bhai Se Kuch Paise Mang Lona...?


𝗛𝘂𝘀𝗯𝗮𝗻𝗱- Wo Nahi Dega Ulta Apni Biwi Ke Saamne 4 Baatein Suna Kar Zaleel Aur Ruswa Kar Dega, Bewajah Izzat Chali Jayegi...😞


𝗗𝗼𝗻𝗼 𝗠𝗶𝘆𝗮 𝗕𝗶𝘄𝗶 𝗥𝗼𝘇𝗲 𝗦𝗲 𝗧𝗵𝗲 𝗨𝗻𝗵𝗼𝗻𝗲 𝗘𝗸 𝗗𝘂𝘀𝗿𝗲 𝗞𝗶 𝗧𝗮𝗿𝗮𝗳 𝗕𝗲𝗯𝗮𝘀𝗶 𝗦𝗲 𝗗𝗲𝗸𝗵𝗮 𝗔𝘂𝗿 𝗣𝗵𝗶𝗿 𝗗𝗼𝗻𝗼 𝗞𝗶 𝗔𝗮𝗻𝗸𝗵𝗼𝗻 𝗦𝗲 𝗔𝗮𝗻𝘀𝘂 𝗝𝗮𝗮𝗿𝗶 𝗛𝗼 𝗚𝗮𝘆𝗲...😭😭😭


[ Yeh Hum 𝗠𝘂𝘀𝗮𝗹𝗺𝗮𝗻𝗼 Ke 100 Me Se 40 Gharon Ki Kahani Hai.


Jo 𝗦𝗵𝗮𝗿𝗮𝗺 Aur 𝗚𝗮𝗶𝗿𝗮𝘁 Ke Maare Kisi Ke Saamne Haath Nahi Failate... Ramzan Ke Mubarak Mahine Me Sirf Fakiro Ko Mat Do Balke Unnko Do Jo 𝗦𝗵𝗮𝗿𝗮𝗺 Aur 𝗞𝗵𝘂𝗱𝗱𝗮𝗿𝗶 Ki Wajah Se Aapse Maang Nahi Sakte.

Jaise Humare 𝗣𝗮𝗱𝗼𝘀𝗶, Humare 𝗥𝗶𝘀𝗵𝘁𝗲𝗱𝗮𝗮𝗿 Ya Phir Humare Khud Ke 𝗕𝗵𝗮𝗶-𝗕𝗲𝗵𝗲𝗻 Jo Garib Hai Ya Financially Weak Hai...

Aapke Apno Ka Haq Hai Aapke Upar.


Yeh 𝗥𝗔𝗠𝗭𝗔𝗡 Kuch Aisa Kar Jao Ke 𝗔𝗟𝗟𝗔𝗛 Aur Usske 𝗥𝗮𝘀𝗼𝗼𝗹 Ko Razi Karlo, Usski Makhlooq Ko Khush Kar Ke.

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url