Hazrat Ayub Alaihissalam Ka Waqia | Iman Ki Dawat

Assalamualaikum Mere Doston is post mein main batayahun Hazrat Ayub Alaihissalam Ka Waqia. Toh aap se request hai ki aap is post ko Dhyan se padhen Insha Allah aapko Bohat kuch sikhne ko milega or Bohat fayda hoga.

Hazrat Ayub Alaihissalam Ka Waqia



Aziz Dosto Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ka Taaaluq Ahle Rome Se Tha. Aap Ka Sazra Nasab Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Se Hote Huve Hazrat Ibrahim A(Alaihay Salam) Se Ja Milta Hai.

Aap Ke Waalid Ka Naam Al Ayeesh Tha Jo Ki Unn Khush Naseeb Logo Me Se Eik Hai Jo Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Par Uss Din Imaan Laaye, Jis Din Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Aag Me Daala Gaya Tha. Aur Allah Ta'ala Ke Huqum Se Wo Aag Gulzaar (Thandi) Ho Gayee Thi.

Aur Aap Ki Walida (Maa) Hazrat Looth (Alaihay Salam) Ki Beti Thi. Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi (Wife), Jinhone Aap Ka Shadeed Bimaari Ki Haalat Me Bhi Saath Na Chora.

Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Beti Thi Jo Ki Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Paheli Biwi "Liyaa" Se Paida Hui Thi. Ya Un Ka Taluq Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Nasal Se Tha (Allah-Hu-Aalam)

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Bahut Maaldar The, Aap Ki (4) Biwiya Aur Bahut Si Aulaade (Bete-Betiya) Thi. Maal Maveshi (Jaanwar), Aur Gulaam Bhi Bahut Sare The, Aap Ki Malkiyat (Jayedaad) Me Sirzameen-e-Huraan Ke Silyaa Ilaaqe Me Bahut Sari Zameen Aur Bahut Badi Khetiya Thi. Allah Ta'ala Ne Aap Ko Apni Har Nemato Se Nawaaza Tha.

Aap Allah Ta'ala Ke Ibaadat Guzaar, Sabar Karne Wale Aur Allah Ta'ala Ki Nemato Ka Shuqr Adaa Karne Wale Nek Aur Saleh Bande Aur Paigamber Hai, Aap Ne Apni Aazmayeesh, Dukh Dard Aur Taqleef Me Jo Sabar Kiya Aur Shiqaayat Ka Eik Lafz Bhi Apni Zubaan Par Na Laaye, Uski Misaal Aaj Bhi Duniya Me (Sabar-e-Ayyub Alaihay Salam) Ke Naam Se Di Jaati Hai.

Aziz Dosto, Riwaayato Me Hai Ki Allah Ta'ala ! Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki In Hi Khubiyo Ki Wajah Se Aap Ka Zikr Farishto Se Farmata Aur Aap Par Faqar Karta Ki "Ek Mera Banda (Ayyub) Hai Jo Ki Har Waqt Mera Zikr Karta Hai, Meri Ibadat Karta Hai, Aur Meri Ataa Ki Hui Nemato Ka Uthhte Baithhte Sote Jaagte Har Waqt Shuqr Adaa Karat Hai."

Shaitaan Iblees Ko Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Ye Taarif Bardast Na Huyee, Uss Ne Arz Kiya "Aye Mere Rab! Iss Me Ayyub (Alaihay Salam) Ka Kamaal Kya Hai ?

Tu Ne Use Itni Sari Nemate (Zameen, Jayedaad, Maal, Maveshi) Ataa Ki Hai. Uss Ki Jagaah Tu Ne Kisi Aur Bande Ko Bhi Itni Hi Nemate Ataa Ki Hoti Toh Woh Banda Bhi Tera Itna Hi Ibaadat Guzaar Aur Shukr Guzaar Hota".

Allah Ta'ala Ne Farmaya Ja Tujhe Ikhtiyaar Diya Ki, Tu Uss Mere Maheboob Bande Ko Uss Ki Tamam Zameen, Jaayedad, Maal, Maveshi Se Maheroom Kar De, Aur Fir Dekh Ki Mera Maheboob Banda Sabar Karta Hai Ya Nahi ?"

Shaitaan Iblees Ne Aisa Harba (Fareb, Makar) Istemaal Kiya Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Tamam Zameen, Jaayedaad, Maal, Maveshi Sab Kuch Khatm Ho Gaya. Lekin.

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Apni Zubaan Par Shikayat Ka Ek Harf Tak Na Laaye. Aur Pahle Ki Tarha Hi Allah Taala Ki Ibadat Aur Shukte guzari Adaa Karte Rahe.

Aziz Dosto Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Se Maal-O-Daulat, Zameen-O-Jaayedaad Chheen Jaane Ke Baad Bhi Aap Allah Ta'ala Ka Zikr Karte Rahe, Sabar Aur Shukr Adaa Karte Rahe. Allah Ta'ala Ne phr Aap Ka Zikr Farishto Se Farmaaya Aur Aap Par Faqar Kiya.

Shaitaan Iblees Ne Arz Kiya "Aye Mere Rab! Iss Me Ayyub (Alaihay Salam) Ka Kamaal Kya Hai? Ke Tu Uss Par Faqar Kare. Tu Ne Use Itni Biwiya Aur Aulaade Ataa Ki Hai.

Jin Se Unhe Taqwiyat (Taaqat) Milti Hai Tera Zikr-Ullah Aur Shukr Adaa Karne Ki. Itni Biwiya Aur Aulaade Tu Kisi Aur Bande Ko Deta Toh Woh Bhi Tera Zikr Aur Shukr Adaa Karta".

Allah Ta'ala Ne Farmaya "Ja Tujhe Ikhtiyaar Diya, Ayyub (Alaihay Salam) Ko Un Ki Aal-Aaulaad Se Maheroom Kar De (Chheen Le) Aur Fir Dekh Mera Maheboob Banda Kya Karta Hai?

Shaitaan Iblees Ne Unke Aulaado Par Kahar (Bijli) Gira Diya Aur Un Ki Tamaam Aulaade Faut (Khatm, Jaan Bahek) Ho Gayee Ya Maut Ke Ghaat Utaar Di Gai.

Aur Halaat Bad Se Badtar Ho Gaye Aur Fakhe Karne Ki Naubat Aa Gayee Toh Aap Ki Teen Biwiya Bhi Aap Ka Saath Chhodh Gayee Siwaaye Ek Biwi Ke Jo Ki Aap Ki Khidmat Karti Rahi.

Itna Sab Kuch Ho Jaane Ke Bawajud Bhi Aap Ne Sabar Ka Daaman Na Chhodha Aur Allah Ta'ala Ka Raat Din Ziqr Aur Shuqr Adaa Karte Rahe.

Allah Ta'ala Ne Fir Farishto Se Aap Ka Ziqr Farmaya Aur Aap Par Fakhar Kiya Ki "Mera Maheboob Banda! Sab Kuch Katam Ho Jaane Ke Bavojood Bhi Qasrat Se Mera Ziqr Aur Shuqr Adaa Kar Raha Hai."

Shaitaan Iblees Ne Arz Kiya "Aye Mere Rab! Iss Me Ayyub (Alaihay Salam) Ka Kamaal Kya Hai? Tu Ne Unhe Itni Achchi Sehat Aur Tandrust Jism Ataa Kiya Hai, Ki Agar Tu Itni Achchi Sehat Aur Itni Quwat Aur Tandrust Badan Apne Kisi Aur Bande Ko Bhi Diya Hota Toh Woh Banda Bhi Tera Ziqr Karne Wala Aur Shuqr Karne Wala Hota."

Allah Ta'ala Ne Farmaya Ja Tujhe Ikhtiyar Diya Ke Tu Ayyub Ko Un Ki Achchi Sehat Aur Tandrusti Se Maheroom Kar De (Chheen Le) Fir Dekh Mera Mahebub Banda Kya Karta Hai"

Dosto...Riwayato Me Hai Ki Shaitaan Iblees Ne Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Chhoo Kar Unhe Chechak Ki Bimaari Me Mubtila Kar Diya. Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap Ubaale Ki Bimaari Me Girahftaar Ho Gaye.

Ye Wo Bimaari Thi Ke Jisme Aap Ke Sare Jism (Badan) Me Fodhe Nikal Aate Aur Jab Wo Fodhe Foothhte Toh Uss Me Se Badboodar Paani Nikalta.

Aap (3) Saal Ya (7) Saal Iss Bimaari Me Mubtila Rahe. Iss Bimaari Ki Wazaah Se Aap Ka Sara Jism (Badan) Sadhh Aur Gal Gaya. Bas Aap Ki Zubaan Aur Dil Mahefooz Rahe Jis Se Aap Raat-O-Din Allah Ta'ala Ka Zikr Aur Shukr Adaa Karte Aur Sabar Karte Aur Ek Chhota Sa Lafz Bhi Shikwa Aur Shikayat Ka Apne Labo Par Na Laate.

Aap Ki Bimaari Jab Jiyada Badh Gayee Toh Bani Israayeel (Yahoodiyo) Ne Aap Ko Basti Se Uthaa Kar Gandagi (Kachre Ke Dher) Par Daal Diya.

Riwayato Me Hai Ki Aap Ke Badan Ke Zakhmo Me Kide Pad Gaye Ya Aap Ko Jis Kachre Ke Dher Par Daal Diya Gaya Tha Wahaa Se Kide Aap Ke Badan Par Aaya Jaya Karte The.

(Allah-Hu-Aalam) Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya).

Aazmaish Ke Baad Aap Hazart Ayyub (Alaihay Salam) Ke Sehatmand Hone Ki Kuch Muktalif Riwayate Hai

Aziz Dosto Ek Riwayat Me Hai Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Bargahe Allahwandi Me Arz Kiya "Aye Mere RAB! Tu Jaanta Hai Ki Jab Mai Do Aadmiyo Ko Jhagadte Huve Dekhta Aur Sunta Ki Woh Kasme Uthha Rahe Hai (Ya Kasme Kha Rahe Hai) Toh Mai Apne Ghar Jaata Aur In Dono Aadmiyo Ki Taraf Se Kaffarah Adaa Karta Ke Kahi Unho ne Allah Ta'ala Ka Naam Bila wazaah (Bina Zarurt) Na Liya Ho.

Aur Fir Aap Ne Sajde Me Sar Rakh Diya. Aur Sajde Ki Hi Haalat Me Arz Kiya "Aye Mere RAB! Mujhe Tere Izzat Aur Jalaal Ki Kasam, Uss Waqt Tak Sajde Se Sir Nahi Uthhauga Jab Tak Tu Meri Takleef Ko Door Na Farma Dega". Aap Sajde Me Hi The Ki Aap Ki Sari Taklife Dur Ho Gai.

Ek Aur Riwayat Me Hai Ki Shaitan Iblees! Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi Se Tabib (Hakim) Hazaq Ki Shaqal Me Mila. Aur Iblees Ne Un Se Kahaa "Agar Aap Mujhe Apne Sar Ke Baal De De Toh Uss Me Ek Aisi Dawaa (Nuskha) Bana Kar Aap Ko Dunga Ke Jis Ke Istemaal Karne Se Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Bimaari Dur Ho Jaayegi.

Aap Shaitan Iblees Ka Fareb (Chaal) Na Samjh Saki Aur Apne Shohar Ki Mohabbat Me Apne Sar Ke Baal Kaat Kar Shaitan Iblees Ko De Diye. Shaitan Iblees Ne Unhe Ek Nuskha Tayyar Kar Ke De Diya Jise Le Kar Woh Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Khidmat Me Pahonchi.

Lekin Aap Ke Pahochne Se Pahle Shaitan Iblees Insan Ki Shakal Me Hazrat Aayyub (Alaihay Salam) Ke Paas Pahocha Aur Unse Kaha Ki "Aap Ki Biwi Ne Badkaari (Badchalni) Ki Hai Isiliye Saza Ke Taur Par Basti Walo Ne Unke Sar Ke Baal Mundwaa (Kaat) Diye Hai, Agar Aap Ko Yaqin Na Ho Toh Aap Khud Dekh Lena Ki Un Ke Baal Munde (Kate) Hai Ya Nahi.

Ye Baat Sunkar Aap Taish (Gusse) Me Aa Gaye Aur Aap Ne Kasam Khai Ke "Agar Ye Baat Sahi Nikli Toh, Jab Bhi Mai Sehatyaab (Tandrust) Hounga Toh Apni Biwi Ko Iss Zurm Ki Saza Me (100) Kodhe (Hunter) Marunga.

Ek Riwaayat Me Hai Ki Jab Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi Wo Nuskha (Dawaa) Le Kar Aap Ki Khidmat Me Hazir Hui Aur Wo Nuskha Aap Ki Khidmat Me Pesh Kiya Toh Aap Hazrat Ayyub (Alaihay Salam)! Shaitan Iblees Ki Chalbazi Ko Samajh Gaye. Aur Kasam Khai Ke Apni Biwi Ki Iss Khata Ki Saza Ke Taur Par Apni Biwi Ko (100) Kodhe (Hunter) Maarege. (Allahu Allam)

Ek Riwayat Me Hai Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam)! Qazaa-e-Haazat (Hamam, Toilet) Ke Liye Tashrif Le Jaate, Qazaa-e-Haazat Ke Baad Aap Ki Biwi Aap Ka Haath Thaam Leti. Aur Aap Un Ka Sahara Le Kar Wapas Aa Jaate.

Ek Din Aap Ki Biwi Ko Der Ho Gai Aur Isi Jagaah Aap Ki Taraf Allah Taala Ne Wahee (Paigaam, Sandesh) Farmai Ki "Apna Pair (Leg) Zameen Par Maaro."Aap Ne Apne Pair Ko Zameen Par Maara Toh Paani Nikal

Allah Taala Ne Aap Ko Huqum Diya Ki "Ye Nahaane Ke Liye Thandaa Paani Hai Aur Peene Ke Liye Bhi." Jab Aap Ne Uss Paani Se Nahaya (Gusal Kiya) Aur Uss Thande Paani Ko Piya Toh Aap Ki Saari Bimaari Aur Takleef Dur Ho Gai Aur Aap Pahle Se Bhi Zayada Sehat mand Aur Tandrust Ho Gaye.

Aziz Dosto......

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Allah Taala Ne Shifaa Bakhshi, Aur Aap Ki Tamam Bimaari Dur Ho Gai Aur Pahle Se Bhi Jiyada Haseen-O-Jameel Aur Tandrust Ho Gaye. Aur Aap Apni Uss Jagah Se Hatt Kar Dur Ja Baithe. Jab Aap Ki Zauzah Mohtarma (Biwi) Wapas Tashreef Layee Toh Aap Ko Apni Jagaah Na Paya, Isi Wajah Se Pareshaan Ho Kar Aap Ko Dhoodhne Lagi.

Dhoondhnte-Dhoondhte Woh Aap Hazrat Aayyub (Alaihay Salam) Ke Paas Pahoonchi Lekin Aap Ko Pahechaan Na Saki. Aur Arz Kiya "Aye Allah Ke Bande! Aap Ne Allah Ke Nabi Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Jo Ki Bimaar The Aur Yahaa Par Rahaa Karte The,
Unhe Dekha Hai ?

Unhe Kahi Kutte Aur Bhediye Toh Nahi Utha Le Gaye?" Aur Fir Kaha "Bimaar Hone Se Pahle Woh Aap Hi Ki Tarha Khubsurat Aur Tandrust The" Kuch Der Woh Aap Se Baate Karti Rahi.

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Kaha "Tera Bhalaa Ho! Main Hi Ayyub Hoon." Aap Ki Biwi Ne Jawaab Diya "Aye Allah Ke Bande ! Kya Aap Mujh Se Mazak Kar Rahe Hai ?"

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Kaha "ALLAH! Tera Bhalaa Kare, Mai Hi Aayyub Hoon. Allah Taala Ne Mujhe Mera Jism Dubaarah De Diya Hai, Aur Iss Ke Sath sath Aur Bhi Maal Aur Aulaad Se Nawaaza Hai.

Aziz Dosto.....

Ek Riwayat Me Hai Ki Aap Huzur-e-Aqdas Mohammaed Musatafa Ne Farmaya Ki "Jab Rabbul Aalmin Ne Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Shifa (Aafiyat) Bakhshi Toh Uss Ke Saath Hi Aap Par Aasman Se Sone (Gold) Ki Tidhdhiya Barsai, Jise Pakad-Pakad Kar Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Apne Kapde Me Jamaa Karne Lage. Tabhi Allah Taala Ne Aap Ko Pukara "Aye Ayyub! Jo Kuch Tum Dekh Rahe Ho, Kya Maine Tumhe Iss Se Gani Nahi Kar Diya ?"

Ye Bhi Padhen:

Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya "Beshaq! Aye Mere Rab! Lekin Mai Teri Rahemato (Nemato) Se Be-Parwaah Nahi Rah Sakta."

Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Aap Ki Do Khetiya Thi Ek "Genhoo" (Gandoom, Wheat) Ki Aur Dusri "Jau" Ki. Allah Taala Ne Baadal Ke Tukde Bheje. Jab Ek Baadal Ka Tukda Gandoom (Genhoo) Ke Khet Ke Upar Gaya Toh Woh Khet Sone Ki Baaliyo Se Bhar Gaya, Yahaa Tak Ki Sona Is Ke Kinaro Se Baahar Girne Laga.

Aur Dusra Tukda "Jau" Ke Khet Ke Upar Gayaa, Jis Se Woh Khet Chaandi (Silver) Se Labaalab Bhar Gayaa. Yahaa Tak Ki Uss Ke Kinaare Se Baahar Girne Lage.

Iss Tarha Aap Ki Bad haali Tangdasti Aur Gareebi Jo Ki Ek Imtehaan Thi Allah Taala Ne Use Bhi Door Kar Diya. Aur Aap Ko Pahele Se Bhi Jiyada Maal-O-Daulat Ataa Farmaye. (Allahu Alam).

Ek Riwayat Me Hai Ki Allah Taala Ne Aap Ki Aulade Jo Faut (Marr, Death) Ho Chuki Thi Unhe Dubara Zinda Kar Diya. Ya Aap Ko Un Faut (Death) Hue Aulaado Ke Badle Me Nek Aur Saaleh (26) Aulaade (Ladke Aur Ladkiya) Ataa Farmayee. Aur Aakhirat Me Inn Sabhi Ko Jannatul Firdaus Me Zamaa Karega Aur Inn Par Apna Rahemo Karam Tamam Karega.

Aur Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Jo Bimaari Ki Haalat Me Apni Biwi Ko (100) Kodhe Maarne Ki Qasam Khai Thi. Uss Par Allah Taala Ne Hukum Diya Ki "Aap Apni Qasam Na Todhe Aur Apni Biwi Ko, Jo Ki Nek Khaatoon Hai.

Aur Jinhone Aap Ki Timaardari Ki Aur Aap Ka Saath Na Chhodha, Tamaam Dukh Dard Aur Takleef Ke Bavojood Bhi Aap Se Wafaa Nibhayee, Isiliye Aap Unhe (100) Tinko Ka Muthhthha (Guchcha) Lekar Maare Aur Apni Qasam Puri Kare."

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

Maqsad Islami Waqiyat Batana Hai Likhne Me Batane Me Koi Galti Hui Ho Toh Allah Maaf kare.

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url